Nazm! Poem by Shahzia Batool

Nazm!

Rating: 3.9


Be rehem hawaon mein
Ajnabi manaazir mein
Iss dil-e-musaafir ko
Koi gham nhi kyun keh
Mushkilon mein bhi apna
Raabta to Rab se he
Aur jaanay kub se he

Maadiyyat ki duniya mein
Khwahishon keh jungle mein
Kis sukoon se mera
Be qaraar dil thehra
Be panaah adab se he
Aur jaanay kub se he

Dil sada ka baaghi he
Sirf khud se raazi he
Be fikar jahan se he
Per he ussko darr jitna
Bus Tere ghazab se he
Aur jaanay kub se he

Mujhko aankh khulne se
Kuchh nazar nhi aata
Meri bund aankhon mein
Aaj jalwa gar ho ja
Mein ne tujh ko socha hi
Ik ajeeb dhubb se he
Aur jaanay kub se he

Sub se hi shanasaai
Aur khud mein tunhaai
Kiya ajab paheli he
Zindagi ka rishta bhi
Ustawaar sub se he
Aur jaanay kub se he

Muntazir wahan tu he
Muntazir yahan mein hun
Ab hijaab pulta de
Mein ne Tere baaray mein
Sunn rakha to sub se he
Aur jaanay kub se he

Jab kbhi bhi jaana he
Uss ki simt jaana he
Rooh or Khuda k beech
Abdiyyat ka yeh rishta
Bus issi sabab se he
Aur jaanay kub se he

Dil jab Uss se lagta he
Phir sukoon milta he
Kaatna nigaahon mein
Raat ka kahan mushkil
Dosti to apni bus
Iss charaagh e shab se he
Aur janay kub se he

Noor ki Tajalli ho
Dil ko ik tasalli ho
Mujh pe bus karam itna
Kuchh zarur ho jaey
Rooh k andheron mein
Koh e toor ho jaey
Munfarid Batool apni
Bus issi talab se he
Aur jaanay kub se he!

COMMENTS OF THE POEM
Muhammad Ali 02 March 2014

Unique, singular, masterpiece. In the best way i feel, emotions played in the lines. Best wishes aapi.

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 02 March 2014

A masterpiece from your pen Shahzia, as if poured out from heart. Beautiful poem with good rhyming. I loved reading each lines. Loved it.

0 0 Reply
Tribhawan Kaul 02 March 2014

Nihayat hee nafees, umda aur bhavuk (emotional) nazm...waaaaah

0 0 Reply
Konab Ghumman 13 March 2019

Muntazir wahan tu he Muntazir yahan mein hun Ab hijaab pulta de Mein ne Tere baaray mein Sunn rakha to sub se he Aur jaanay kub se he........ Thanks for sharing this lovly poem..

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 04 May 2017

Jis ko chahate thay ham, Jis pe jaan dete thay. Jis ki izzaton ki ham yun qasam uthate thay.wo jahan main yakta hai. Usko kis ne dekha hai. Han usi ki razon ka. Aaj tazkra Jazib. Ajnabi ke lab se hai. Aur jaane kub se hai.

0 0 Reply
M Asim Nehal 04 October 2015

Kya baat hai...... Dil sada ka baaghi he Sirf khud se raazi he Be fikar jahan se he Per he ussko darr jitna Bus Tere ghazab se he Aur jaanay kub se he

0 0 Reply
Ramesh Rai 13 March 2014

A grand soulful write.

0 0 Reply
Tirupathi Chandrupatla 03 March 2014

Mujhko aankh khulne se Kuchh nazar nhi aata Khwahishon keh jungle mein The world of desires is so...nothing is visible even while eyes are open. Beautiful stanzas of meaningful lines. I am sure you can render this in English to open it for all. With what I know I can feel it but I cannot follow all the lines. Thank you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success