Mun Aangan Ka Mosum! (Urdu) Poem by Shahzia Batool

Mun Aangan Ka Mosum! (Urdu)

Rating: 4.1


Lo hijr k lamhay sir per hen
Kbhi chup hon gay, kbhi roein gay
Aur jaag jaag ker raaton mein
Ashkon k haar piroen gay
Bus sochh mein ghaltaan rehtay hen
Aankhon mein shab guzarti he
Hum khud se puchhtay rehtay hen
Kyun raat ki raani ki khushboo
Mun aangan ko mehkaati he
Kyun iss aangan mein yeh kaliyan
Khilti hen roop dikhaati hen
Kaliyon per shabnam saj saj ker
Soey huay phool khilaati he
Kyun phool mehektay jaatay hen
Kyun titli urrti jaati he
Kyun koyal kookti phirti he
Aur punchhi naghmay gaatay hen
Iss baagh mein kitni ronaq he
- - - - - - - - - - - - - - - - - -

Lekin yeh andar ka mosum
Kyun itna badla badla he
Or dil ki veera’n nagri bhi
Kyun muztar muztar rehti he
Yeh tanha tanha khamoshi
Hum se kiya kehna chahti he
Kyun yaad kisi ki aati he
Or iss be naam si yaad me yeh
Aankhen kyun num ho jaati hen
In na maalum si yaadon ki
Aakhir koi pehchhan to ho…
Phir ek sawal ubharta he
Kyun andar baahar ki rut mein
Tafreeq rawa ho jaati he
Or dil mera yeh puchhta he
Wo kon naseebay walay hen
Jin k mun aangan ka mosum
Baahar ki rut k jessa he?

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
written years back probably in 1988
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 06 September 2014

Ek khoobsoorat dil ki gahrayeeon meiin utar jane wali nazm. Lajawab.

0 0 Reply
Ramesh Rai 23 June 2013

Wo kon naseebay walay hen Jin k mun aangan ka mosum Baahar ki rut k jessa he? 1988, it means poetry is ur birth right. xlent write. i can say only WAH! kya khoob likhi hai aapne

0 0 Reply
Farah Ilyas 16 June 2013

Beautiful poem ever.....maza ah gaya

0 0 Reply
Yasmin Khan 15 June 2013

blowing like cool morning breeze and fluttering like butterflies...really under ki rut khizan mein bhi phool khila deti hey...it's simply beautiful Shahzia touching the heart!

2 0 Reply
R.k Das 14 June 2013

wish i knew Urdu: (

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success