Bano Ali

Bano Ali Poems

1.

Main keya thi main keya ho gai aaj shab,
Woh aurat kahan kho gai aaj shab.
Yeh ghadiayan theen jimmein mujhe jagna tha,
Main keyun bekhabar so gai aaj shab.
...

I am only forty eight,
I don't count the years before I met you,
My life started when I met you,
Or I am even younger than that,
...

Having passed fifty years with you
I now agree with you.
I regret why I couldn't reply only Shoo.
Perhaps I loved you
...

4.

Apna gham tha to yeh dil pighla tha aansoo ban kar
Apni khushiyon pe mahakta tha yeh khushboo ban kar,
Jane yeh dard mila kaysa ke dil khoon hua,
Hosh baqi na raha zehn bhi majnoon hua,
...

Main gudiya ka beah rachaoon gi,
Main dulhan ise banaoon gi,
Main ne bazar mein dekha hay,
Kutch chote chote khilione hayn,
...

Main aksar sochti hoon zindigi jo sath guzri hay,
Agar tanha guzarti to main kabki mar gaee hoti,
Tumhare peyar ne mujhko umangen dee hayn jeene ki,
Wagarna main to murjha kar bikhar jati zamane mein.
...

Peyare bacho aage barho,
Buraion se jang karo,
Peyar muhabbat dosti,
Baqae bahami, amn o ashti,
...

Hiding your face in your pillow,
sometimes you cry
and,
sometimes you smile!
...

Kam mere to kar dikhao mujhe,
Aaj main roothoon tum manao mujhe.
Zere lab jisko gugunate ho,
Aaj wuh geet to sunao mujhe.
...

10.

Tapti ret pe chalte chalte,
Jab bhi peeche mud kar dekha,
Tez hawa ke garm bagoole,
Peeche peeche ret udate,
...

Yeh peele peele chamakte phhol,
Yeh peele peele mahakte phool,
Hari hari pattion mein chupkar,
Ek hansta hua chehra dikhlakar,
...

Khuda ko dhoondh len ge pehle insan dhoondh lene do,
Mujhe afsanae Adam ka unuan dhoondh lene do.
Mujhe maloom hay manzil to Hawa thi jo ab bhi hay,
Yeh mitti jisne goondhi thi woh arman dhoondh lene do.
...

Koi khawab na aysa dikhana tum,
koi saz na aysa bajana tum,
koi geet na aysa gana tum,
zara chupke chupke aana tum,
...

14.

I cry in your love
and I love to cry
why do you wipe my tears?
...

Yeh nanhe munney bachche jab karnein lagein sawal,
Yeh bachon ko keyun marte hayn aiy khuda bata de jawab,
Mera pota mujhse poochta hay keya hote hain dahshatgard,
Jo bat na khud main samajh pai wuh bachon ko kaise samjhaoon,
...

16.

Mujhe keya khabar thee ke aankhon mein teri,
Wuh barkha bhee hay toot kar jo hay barsi,
Muhabbat ke sagar se uthe jo badal,
Youn chamke youn garje ke dharti hay jalthal,
...

Mujhe dost kahkar bulao, tumhein keya khabar,
Dosti ek peyara sa mashroob hay,
Garmion mein yeh sharbat ka hay ek glass,
Aur barsat mein chaiy ka ek cup,
...

Nigahen udhar hayn jidher tum nahin ho,
Magar yeh to socho kidher tum nahin ho.
Yeh barish, yeh khunki, yeh tareekian,
Sabhi kuch hay ghar men magar tum nahin ho.
...

Aiy muhabbat ja eh dil tujhko na ras aya kabhi,
Ja chali ja pas uske jo nahin aaya kabhi.
Kisliye veeranon mein chup kar raha karti hay tu,
In andheron se tera jee keyun na ghabraya kabhi.
...

Muhabbat se muhabbat ho gai hay,
Mere zariye se chahat ho gai hay.
Bazahir meherban mujhper hua too,
Teri tujhper enayet ho gai hay.
...

The Best Poem Of Bano Ali

Aurat

Main keya thi main keya ho gai aaj shab,
Woh aurat kahan kho gai aaj shab.
Yeh ghadiayan theen jimmein mujhe jagna tha,
Main keyun bekhabar so gai aaj shab.
Kasafat woh din bhar ki ek qahr thi,
Jinhein chandni dho gai aaj shab.
Poda ug aaya, aur phool khilne lage,
Yeh barkha yeh keya bo gai aaj shab.
Bas ek lamhe mein sab tha badla hua,
Main kamzor phir ho gai aaj shab.

Bano Ali Comments

M Asim Nehal 30 September 2015

Bano Ali, writes with her heart and her ghazal reaches to the heart. She is an amazing poetess with deep thinker. She touches the base with common topics and her urdu vocabulary is abundance. I wish her very best and may Allah increase your writing poweress.

0 0 Reply
Khalid Saifullah 13 July 2014

Poems of Bano reach the deepest corners of the heart.

1 0 Reply

Bano Ali Popularity

Bano Ali Popularity

Close
Error Success