Ghazal-Aaj To Chor Kar Na Jao Mujhe Poem by Bano Ali

Ghazal-Aaj To Chor Kar Na Jao Mujhe

Rating: 5.0


Kam mere to kar dikhao mujhe,
Aaj main roothoon tum manao mujhe.
Zere lab jisko gugunate ho,
Aaj wuh geet to sunao mujhe.
Main to keyatumko bhool paoon gi,
Tuum bhi shayed bhula na pao mujhe.
Ab chale aao neend aati nahin,
Is tarah to na aazmao mujhe.
Bhoolne wale yeh karam hi karo,
Bhool kar ab na yad aao mujhe.
Yeh bhi andaz hain muhabbat ke,
Jisqadar chaho tum satao mujhe.
Rat bheegi bhi hay andheri bhi,
In andheron mein na darao mujhe.

Sunday, November 9, 2014
Topic(s) of this poem: waiting
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 22 September 2015

Soch ki bulandi ka behtareen namuna hai ye Ghazal......... Main to keya tumko bhool paoon gi, Tum bhi shayed bhula na pao mujhe.

3 0 Reply
Salini Nair 21 November 2014

i would like to hear all your ghazals.... why don't you upload its voice file.......beautiful...

0 0 Reply
Ramesh Rai 14 November 2014

Ek geet yaad aagaya Haan tum mujhe yun bhula n paoge. behterin khoosurat rachna hai aapki. Thanks for share. Regards.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 09 November 2014

Beshak yeh ek khoobsoorat ghazal hay............10

1 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 09 November 2014

Bhut khobshurat Ghazal hai- Zere lab jisko gugunate ho, Aaj wuh geet to sunao mujhe.//Rat bheegi bhi hay andheri bhi, In andheron mein na darao mujhe. //thank you

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success