Mazdoor Bachey Poem by Bano Ali

Mazdoor Bachey

Rating: 5.0


Peyare bacho aage barho,
Buraion se jang karo,
Peyar muhabbat dosti,
Baqae bahami, amn o ashti,
Leke yeh hathiar,
Ho jao tayyar.

Aage barh kar war karo,
Yeh hay jehalat isse laro,
Kardo ise barbad,
Ilm o aagahi zindabad,
Jug se sare andhere mitao,
Khud bhi parho auron ko parhao,
Shama jalao ilm o hunar ki,
Door andheron ko kardo.

Ghurbat aur iflas se larna,
Yeh bhi tumhara kam,
Jo apni tijori bharte hayn,
Kardo unhein nakam.

Nafrat ki deewar gira do,
Sabse muhabbat karna hay,
Jo nafrat karke jeete hain,
Unka jeena to marna hay.

Khatm karo dunya se dahshat,
Amn aashti aur muhabbat,
Insanon ke sath sath,
Har zeerooh se peyar karo.

Yeh jo per aur paude hayn,
Inko bhi to bachana hay,
Ye hayn hamare dost purane,
Sadion ke inse yarane.

Har bachey ko parhna hay,
Aur koi kam na karna hay,
Dekho agar ek bache ko,
Jo mazdoor hi karta hay,
Uske man auur bap ke pas,
Jao aur jakat unse kaho,
Taleem to bachon ka haq hay,
Yeh inse mahroom hayn keyun,
Inka haq inko de dein,
Bhejen inhein schoolon mein,
Inko parhna likhna hay,
Yeh bacheyaapke bache hayn,
Dekhen to kitne ache hayn,
Yeh khudbhi parhna chahte hayn,

To inko parhne likhne dein,
Aur inko aage barhne dein,
Bhejne inhein schoolon mein,
Huukme Nabi (saw) per amal karein.

Saturday, September 20, 2014
Topic(s) of this poem: children
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
We should protest against child labor
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 20 September 2014

Child Labor is a very serious problem, congratulations for raising your voice against it.

2 0 Reply
Umar Hashmi 04 December 2015

A lovely poem...........................

0 0 Reply
M Asim Nehal 27 September 2015

Very well said, They all need education first. We must stop this exploitation at our level at least.

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 25 October 2014

Main hamesha sonchta hun quran iqra se shuru hota hai aur deen muqamal hua par khtm , na to ham padhe aur na padhai puri huyee aur na hi hamne koshish ki- madarson me fitra aur jakaat ham dete hai aur sonchte hai ki hame deen ka rahnuma inhi ghaliz ko khakar mile..agar aaj ham musibat me hain to ye hamaari ladeeni sonch hi hai..aap ne Mazdoor Bachey ko housla dene ki koshish ki hai Allah aap ki awaaz ko har tabqe talak pahunchaa de ye meri tamana hai Alah se bahut khoob

1 0 Reply
Free Bird 04 October 2014

MAy Allah gives hidayat to those who don't let them study and call themselves as literate, who in reality are bigger illiterate......

2 0 Reply
Bhargabi Dei Mahakul 22 September 2014

Khatam karo duniya se dahst...whatt a beautiful poem. The voice is raised beautifully throw the power of words.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success