M.Phil ***(Urdu) Poem by Shahzia Batool

M.Phil ***(Urdu)

Rating: 3.5


Kitna mushkil he nigahon ka muta'ala kerna
wo nigahain
kisi naqqad k thesis ki tarha
apne mazmoon o matan me zara mushkil hi sahi
kaash un gehri nigahon k muta'alay k lye
un pe likhi kisi sha'ir ki kitaaben mil jaen
kuchh hawalay mil jaen
un ko parh lun
to nigahon ka samajhna bhi sehel ho jae
aur masla kisi hd tk mera hul ho jae
kaash pur soch nigahon k muta'alay k lye
ese ghambeer se topic pe maqalay k lye
library mujhe mashhoor koi mil jae
rehnumai kisi ustaad ki haasil ho jae
iss tarha
parhtay hue tay me manazil kr lun
un nigahon k muta'alay me me M.Phil kr lun
:)

COMMENTS OF THE POEM
R.k Das 21 February 2012

plz help lesser mortals like me read and enjoy this poem by an english translation by the poetess herself.[ am aware of the fact that poetry is untranslatable]

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 24 April 2017

Mulk ke mulk hue mahir-e-mazmoon is men. Jane kia rakhkha hai Allah ne afsoon is men? Doosri baar uthane ki ijazat hi nahin. Zulm insan pe dhane ki ijazat hi nahin. Noor ki chadaren mil jati hain aasani se. Ishq ka dagh sajane ki ijazat hi nahin. Mulk ke mulk hain Ph.D o M.Phil is men. Kash nakhanda koi nafs ho ay dil is men.

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 21 August 2016

great poem..kia khoob kaha hai....

0 0 Reply
M Asim Nehal 18 September 2015

Nigahon ka padhna, Itna mushkil bhi nahi, itna aasan bhi nahi. Jo padh paate gar hum nigahon ka sabak, kitne masle hi hal ho jaate...........Wonderful poem Ms. Shahzia, I loved it.

0 0 Reply
Passionate Reader 04 July 2013

Outstanding! ! ! A beautiful piece. The whole poem flows naturally and smoothly. It took me to another WORLD! ! ! You have brilliantly interjoined two ideas. The use of diction is great! ! ! kaash pur soch nigahon k muta'alay k lye ese ghambeer se topic pe maqalay k lye library mujhe mashhoor koi mil jae rehnumai kisi ustaad ki haasil ho jae iss tarha parhtay hue tay me manazil kr lun un nigahon k muta'alay me me M.Phil kr lun I must tell you that there was a constant smile on my face while reading this beautiful poem. Good job! ! ! :))

0 0 Reply
Sadiqullah Khan 29 February 2012

hum in ghambeer rasthon se guzr chukey hain; kuch tu bas bahaar ki bat chaley, ik kaid ki si umar, jab pata chala tu dahayun ke beech; chand roshnioun ki kerno mien, mubara-e-umeed wa rakht-e-safar se aar; wo jo chalee dastan-e-zian, mein ne apney hat se phisltey dekha, chand khabon ko jin ki taabir emin waqt ne musalsal; kuch tu umeed thay, jo bas khak hioey; mujhey kuch sadion ke simte hioey dard, lamhat ki khamoshi mein utarney do; mujhey abhi zeeest ke chand aks aur khanchney do.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success