Jindagi Ka Aakaar Poem by ramesh rai

Jindagi Ka Aakaar

Rating: 4.5

Jindagi ka koyee jyamitik aakkar ho
ise main nahi manata
jis kon se dekho
uska aakar badal jata hai

kabhi to wah lagati hai ek bindu
jismein ahang ki sthiti matra dikhti hai
kabhi wah ban jati hai ek virat vrit
jiski paridhi se saari srishti
pariveshthit ho jati hai

kabhi lagati hai ek rekha si
jiski lambai badhati jati hai
aur hum aadi bindu se door bhaag jate hain

kabhi wah dikhati hai
ek tribhuj ki aakar si
jiske shirsh par baitha niyanta
apani do lambi bhujaon se
ham sab ko thame rakhata hai

kabhi wah ban jati hai ek chaturbhuj
jisme aakarshan aur vikarshan
sthiti aur laye ki
samanantar rekhayen paraspar katati rahati hai

aur kabhi aisa lagata hai
jindagi ka n koi aakar hai
n koyee roop hai bas bakwas hai
jo charo ore se ghira hai.

Wednesday, October 8, 2014
Topic(s) of this poem: spirituality
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
i think i have written this around 1979. exact date is unknown
COMMENTS OF THE POEM
Salini Nair 08 October 2014

beautiful comparison of life..........................great sir

1 0 Reply
Geetha Jayakumar 09 October 2014

Zindagi ka koi aakar nahin....Very true said. Aapki kavita pyaari hain. I loved reading it.

1 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 14 October 2014

nice flow like brook with its song...thank u

0 0 Reply
Md Asadullah 12 October 2014

Wonderful poem sir, life is something which is difficult to describe, yet you have described it so well and I do agree with the suggestion of savita ji,10/10

0 0 Reply
Savita Tyagi 11 October 2014

Sach hi kaha, Jindagi ka koi roop nahi. Enjoyed the whole poem accept the word Bakwas. Just doesn't seem to fit in otherwise lovely poem. I hope you do not mind my saying this but some other word will enhance the poem.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 09 October 2014

Plan, elevation and the third view are the technical drawings for the engineers. For an artist or for a poet the isometric view is better, but that too cannot present the complete view of the life.

1 0 Reply
Tirupathi Chandrupatla 09 October 2014

aur kabhi aisa lagata hai jindagi ka n koi aakar hai n koyee roop hai Life is a shapeless form and a formless shape. Kya baat hai. Thank you.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success