Jahan Roshan Kar Poem by Aftab Alam

Jahan Roshan Kar

Rating: 4.5

charage ilm jala jahan roshan kar,
aql se kaam le, na thar- thar dar ,
khud ko jalaa kar jo jhan ko noor kiyaa,
Haqiqat men us ne hi shaan se jiya,

kashti dubti hai to dubne de, kinare par,
lahron se lad, apne wajod ko bikher kar,
kya bachega gar khud ko bachaa loge,
Insaniat ko bachaa lo saanso ki har tod kar,

zindagi bandagi ban jaaye aisi hunar talaash kar,
maut barhaq hai, maut ka intezar mat kar,
charage ilm jala jahan roshan kar,
aql se kaam le, na thar- thar dar

Saturday, August 16, 2014
Topic(s) of this poem: inspirational
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 19 October 2015

ilm ki roshani se jab chaaro taraf jagmag hogi ab ki duniya se vo nayi duniya bilkul alg hogi itni khoobsurat nazm ke liye aapka bahut bahut shukriya. ab do line aapki nazm se quote karta hun: charage ilm jala jahan roshan kar, zindagi bandagi ban jaaye aisi hunar talaash kar,

0 0 Reply
Akhtar Jawad 16 August 2014

A nice message in a lovely poem.

1 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 16 August 2014

Wah zabardast shaer! With inspiring message for humanity. Charage ilm roshan karna bohot zaruri hay, lekin sahi ilm.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success