Apeel(Urdu/Hindi) Poem by Aftab Alam

Apeel(Urdu/Hindi)

Rating: 5.0


apeel/Aftab alam “daravesh”
Khamosh jo rahen hum
Mit jayengen jahan se
Ye dhrti to hai apni
Kahan janye hum yahan se/

Rahe aman hai apna,
Haq pe juban hilayen
Hasti badi hamari
Sidhi raah jo dikhayen/

Hath uthe jab bhi
madad aaye aasamaan se
qirdar aisa apna
jaise aaye qahksan se

nahin koi hamase behatar
dhrati pe ghum aao
farishta na koii hamasa
jidhar chaho udhar jaao

ye baat alag si hai
bichhade ham caravan se
hua daagdaar daman
jhuton ki bad juban se

COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 19 August 2013

Yeh dharthi hai humari jannani maatha isse chood kar kahan jaaye hum iss dharthi say he hum aaye thae aur dharthi mein hi mit jaayenge. Beautiful poem...Loved reading it..

1 0 Reply
Ramesh Rai 05 July 2013

bahut khub. sare jahan se achha hindostan hamara

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success