Kavi Deepak Sharma

Kavi Deepak Sharma Poems

” Lo Raaz ki baat aaj ek batate hain
hum haskar apne gum chupaate hain,

Tanha hote hain to ro lete ji bhar kar
...

Main bikhar raha hoon mere dost sambhalo mujhako,
motion se kahin sagar kee ret n ban jaoon
kahin yah zamana na uda de dhool ki manind
thokaren kar den mazarooh aur khoon me san jaoon.
...

Mohabbat ke safar me chalne waale raahi suno
Mohabbat to hamesha jazbaato'n se ki jaati hai,
Mahaz shaadi hi mahabaat ka sahil nahi
Manzil to Door isse bahut door jaati hain.
...

Dharti ke adhro'n par jhuka aasmaan
Faila baahe'n saheje makhmal sa badan
Choomta be-khabar jag se kudrat ka tan
Nai dulhan si naveli hai dhara bhi magan.
...

Lab talak paimana lane se pahale
yad kar mayakash apane ghar ke mohare
fako'n se tootati biBi kee nafas
dane - dane ko tarasate tere mohare.
...

Jab bhi koi baat danke pe kahi jati hai
Na jane kyon zamane ko akhar jaati hai

Jhuth kahte hain to muzrim karar dete hain
...

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Zayada Gumaan tha
Dil us shkhas ka bahut Be-Imaan tha.

Bikhra hua padha tha ek saya uske paas
...

Aajkal khun mein pehli si rawani na rahi
bachpan bachpan naa raha, jawani jawani na rahi

Qya libas kiya tyohar kiya riwazon ki kahen
...

Buddham Sharanam Gachchami................
Do pal sukh se sona chaahe par neend nahi pal ko aaye
Ji machale hain bechaini se, rooh na jaane kiyon akulaaye
jwaala se jalti hain tan me, ummeed ho rahi hungaami.....
...

Gagam ko chumte uunche makan walon suno
bahut dilkash, munnakash evaan walo suno
tumhen kyon apni imarat par itna garur hai
iska asal maalik to kewal mazdur hai
...

Jaati hai drishti jahan tak baadal dhuen ke dekhta hun
Archana ke deep se mandir jalte dekhta hun
dekhta hun raat se bhi jyada kaali bhor ko
aadmi ki mukta ko goliyon ke shor ko
...

Saamne kuch peeche kuch aur kaha karte hain,
Is Shahar me bahurupiye raha karte hain.

Bas kisi tarah se apna bhala ho jaaye,
...

Aankh risti hai to man ki jalan mit jati hai
Dukhon ke shul nikal jaate thakan mit jati hai

Jane kaisa gazab ka jadu hai nanhe - nanhe haathon mein
...

Har baam pe roshan qafila –e-chiragh
Har badan pe chamakte keemti libaas
Har rukh pe tabassum ki damkti lahar
Lagti hai shab bhi aaj ho jaise ek sahar
...

Meri saanso mein yahi dahshat samaai rahti hai
Mazhab se kaume banti to watan ka kya hoga

Yun hi khinchti rahi deewar gar darmyaan dil ke
...

Daal kar kuch neer ki bunde adhar mein
Kar akela hi vida agyat safar mein
Kuch neh mishrit ashru ke katre bahakar
Sambandho se apne sab bandhan chudakar
...

Saans jaane bojh kaise jivan ka dhoti rahi
Nayan bin ashru rahe par zindagi roti rahi.

Ek naajuk khwaab ka anzaam kuch easa hua
...

GHAR SE NIKLO TO ZAMANE SE CHIPA KAR NIKLO,
AAHAT HO NA ZARA BHI PAAWN DABA KAR NIKLO.

LAUT AAYEN YE KHUDA PHIR WAPAS GHAR MAIN,
...

Dil mein jab tak main - tu nahi hum hain
Ghar bikharne ke mauke bahut kam hain

Kaun kheenchega bhala sehan mein deewar
...

'DIN AADMI AANGULION PER GINTA RAHA,
AUR WAQT DABE PAUWN CHALTA RAHA.

THOKAR LAGI YA PATTHAROON KA MAZAQ THA,
...

Kavi Deepak Sharma Biography

I was born on 22nd April 1970 in Chandausi, District Moradabad (U.P.) , INDIA.I am a natural poet but academically & professionally a manager, holding critical responsibilities in a corporate at New Delhi. I regularly appears in various literary get togethers i.e.Kavi Sammelan, Mushaaira & Kavya Goshthi as well as in Electronic Media.I can be accessed through http: //www.kavideepaksharma.co.in, you can send your valuable suggestions to our e-mail kavyadhara@kavideepaksharma.co.in, and kavyadharateam@gmail.com, Contact Number +91 9971693131 'AAPKE EHSAAS KO MAINE APNI ZUBAAN DE DEE, ZAMANA KAHNE LAGA LO SHAIR HO GAYA 'DEEPAK'.)

The Best Poem Of Kavi Deepak Sharma

” Lo Raaz Ki Baat Aaj Ek Batate Hain...Ghazal By

” Lo Raaz ki baat aaj ek batate hain
hum haskar apne gum chupaate hain,

Tanha hote hain to ro lete ji bhar kar
sar-ae -mahfil aadatan muskuraate hain.

Koi aur honge rutabe ke aage jhukne waale
hum sir bas khuda ke dar per jhukaate hain

Maa aaj phir tere aanchal me mujhe sona hai
aaja badi hasrat se dekh tujhe bulaate hain.

Ise zid samjho yaa humara ssauq”o”Hunar
chiraag hum tez hawaayon me hi jallate hai

tumne mahal”ao”minar, daulat kamaai ho beshaq
par ghair bhi pyaar se mujhko gale lagaate hain

sharafat hameshaa nazar jhukaa kar chalti hain
hum nigaah milaate hain nazre nahi milaate hain

Ye mujh par upar waale ki inaayat hain”Deepak”
wo khud mit jaate jo hujh pe nazar uthaate hain

All right reserved @Kavi Deepak Sharma
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //www.kavideepaksharma.com
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com
http: //kavideepaksharma.blogspot.com
http: //kavyadhara-team.blogspot.com

Kavi Deepak Sharma Comments

Kavi Deepak Sharma Popularity

Kavi Deepak Sharma Popularity

Close
Error Success