Jis Par Mujhe Zaroorat Se Jayada Gumaan Tha....Ghazal By Kavi Deepak Sharma Poem by Kavi Deepak Sharma

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Jayada Gumaan Tha....Ghazal By Kavi Deepak Sharma

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Zayada Gumaan tha
Dil us shkhas ka bahut Be-Imaan tha.

Bikhra hua padha tha ek saya uske paas
Koi Aznabi Nahi wo Mera Armaan tha.

kahkaho'n me Bazm ke dab gai siski meri
Maamooli thi hasti meri bahut chota nishaan tha.

Khush tha jise main phoonk kar mazhabi junoon me
baad me maalom hua wo mera makaan tha


Dosto'n ne nibhaai dosti bhi kis jagah
door zindgai se chaar kadam shamshaan tha

Bhook ka koi 'Deepak'Mazhab kahi'n hota nahi
Qafir ke saath khaa gaya jo musalmaan tha.


@Kavi Deepak Sharma
http: //www.kavideepaksharma.com
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com
http: //kavideepaksharma.blogspot.com

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Kavi Deepak Sharma

Kavi Deepak Sharma

Chandausi, Moradabad(U.P.) India
Close
Error Success