Gagan Ko Choomte..........Nazm By Kavi Deepak Sharma Poem by Kavi Deepak Sharma

Gagan Ko Choomte..........Nazm By Kavi Deepak Sharma

Gagam ko chumte uunche makan walon suno
bahut dilkash, munnakash evaan walo suno
tumhen kyon apni imarat par itna garur hai
iska asal maalik to kewal mazdur hai
inki haqdaar rote bacchon ki nigahen hain
inki haqdaar to pathhar todti maayen hain
inke haqdaar ghayal hath, zakhmi paanv hain
inke haqdaar to bahte - riste ghav hain
tan tumhara to aisi choto se koso dur hai
iska asli haqdaar to kewal mazdoor hai
kitine mazdooron ne chor kar beemar bacchon ko
surat in mahlon ki apne haathon se sawaari hai
dabakar bhuk kewal ek lota paani se
inke darwazon par laajawab nakkashi ubhari hai
tumne to sikkhon ki raushni fenki hai paseene par
magar mazdoor ki mehnat ne tarash kohinur hai
chamakte farsh par tum jo khade ho itraye se
kai haathon ne isse pyaar se sahlaaya hai
har tukda lagaya hai bahut kareene se
bade saleeke se dulhan ki tarh ise sajaya hai
aaj oonko hi nahi izazat dahleez chadhne ki
jinke hunar ki badaulat dyodi teri noor hai

Copy right resereved @ Kavi Deepak Sharma
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //www.kavideepaksharma.com
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Kavi Deepak Sharma

Kavi Deepak Sharma

Chandausi, Moradabad(U.P.) India
Close
Error Success