Love And Life.....Mohabbatke Safar Me Chalne.....Controversial Nazm Poem by Kavi Deepak Sharma

Love And Life.....Mohabbatke Safar Me Chalne.....Controversial Nazm

Mohabbat ke safar me chalne waale raahi suno
Mohabbat to hamesha jazbaato'n se ki jaati hai,
Mahaz shaadi hi mahabaat ka sahil nahi
Manzil to Door isse bahut door jaati hain.

Jin nigaah me muqaam-e-ishq shaadi hai
Un Nigaah me faqat hawas badan ki hai
Ease hi log mohabbat ko daag karte hain
kiyonki inko talaash ek gudaaz tan ki hai.

Jis mohabbat se hazaro'n aankh jhuk jaaye'n
Us mohabbat ke saadiq hone me shaq hai
Jis mohabbat se koi pariwaar ujdhe
Wo mohabbat nahi ek lap lapaati vark hai.

Mere lafzo'nme mohabbat wo chirag hain
Jiski kirno'nse zamana roshan hota hai,
Jiski lau dunia ko raahat deti hain
Na ki jisse dukhi ghar, nasheman hota hain.

Mere Dost! Jis mohabbat se pashemaan hona padhe
Main use hargiz Mohabbat kah nahi sakta,
Nazar jiski wajah se mil n sake zamane se
Main easi mohabbat ko saadik kah nahi sakta.

Main bhi mohabbat ke khilaaf nahi hoon
Main bhimohabbat ko khuda maanta hoon
Fark itna hain ki main ise marz nahi
Zindagi sawarne ki dawaa maanta hoon.

Saaf harfo'n me mohabbat us aaine ka naam hain
jo haqiqat jivan ki hanskar qabool karwata hain
Aadmi jiska tassvbur bhi nahi kar sakta
Mohabbat ke fair me wo kar guzar jata hain

All right reserved @Kavi Deepak Sharma
Nazm taken from his collection'FALAKDIPTI'
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Kavi Deepak Sharma

Kavi Deepak Sharma

Chandausi, Moradabad(U.P.) India
Close
Error Success