jugal milan

jugal milan Poems

aaj ke is kalyug me
kaha hai gandhi ki toli?
saath me jise liye chalte
thi shanti hi gita ki hamjoli
...

hari - hari chhai hai...
hariyali kaha se aai hai?
basant ke mahine me...
ye raunak kisne lai hai?
...

main aur meri tanhaai
aksar saath rahate hai
jab bhi rahu akela main
wo bas yahi kahate hai
...

या मालिक कैसी है तेरी बंदगी,
मिली भी तो एक गरीब की जिंदगी.

कभी यहाँ रोटी नहीं मिलती,
...

आज के इस कलयुग में
कहा है गाँधी की टोली?
साथ में जिसे लिए चलते
थी शांति ही गीता की हमजोली
...

मैं और मेरी तन्हाई
अक्सर साथ रहते हैं
जब भी रहूँ अकेला मैं
वो बस यही कहते हैं
...

हरि हरि छाई है.........
हरियाली कहा से आई है?
बसंत के महीने में......
ये रौनक किसने ले है?
...

Ya malik kaisi hai teri bandagi,
mili bhi to ek garib ki jindagi.

kabhi yaha roti nahi milti,
to kabhi langoti nahi milti,
...

The Best Poem Of jugal milan

Bhrashtachar Ki Ladai

aaj ke is kalyug me
kaha hai gandhi ki toli?
saath me jise liye chalte
thi shanti hi gita ki hamjoli

ramdev, anna bhi gaye
sarkar ke is khatai me
shanti ke saath chaturai bhi gayi
bhrashtachar ki ladai me

nahi mila mukaam abtak
jiski hame talash thi
kranti ab wo phir chhidegi
jo san 47 ki aawaz thi

angrej darke bhage the
janta ke aage kampe the
wahi janta phir jagegi
sarkar ko milkar bhapengi

aawaj satyagrah kahi nahi
garmajoshi ka dabaw bhi tha
tabhi desh aajad hua tha
jisse bharat ka guman hua tha

yeto satyagrah ki aawaz hai
garmjoshi abhi hui kaha?
itne me sarkar loot gayi hai
naujwan utrenge to ye bhagegi kaha?

antim samay tak chalegi ladai
bhrashta netao pe hogi kadai
jang haar sakte nahee kabhi
hai bhrashtachar ki ye pahli ladai

jhuk jaayegi ye sarkar
fans jaayenge shatir mantri
aakhir kabtak jhuthi shan rahegi
bhrashtachar ab nahi chalegi

bhrashtachar ab nahi chalegi
bhrasthachar ab nahi chalegi

***jugalmilan***

jugal milan Comments

jugal milan Popularity

jugal milan Popularity

Close
Error Success