Main Aur Meri Tanhaai Poem by jugal milan

Main Aur Meri Tanhaai

main aur meri tanhaai
aksar saath rahate hai
jab bhi rahu akela main
wo bas yahi kahate hai
tanhaa hai jindagi
aur main hoon tanhaai
kaise rahega mere bagair
main hoon tumhari sachchai
udaas na hona mere jivan
main hoon tumhari parchhai
jaha bhi rahoge tum akele
waha tumhe ham kabhi na bhule
aksar tumhare saath rahkar
jajbato ko ham parkha karte
anubhav kya hote hai?
ye ham tumhe bataya karte..
madad karo sabki tum
madad karo sabki tum
par aash na karo kisi se tum
yahi hai jindagi jisme hai jina
warna rah jaaoge tum tanhaa
aisa hi hota hai mere saath
jab aash lagake baithata hoon
sabkuchh sunsaan ho jata hai
aur main tanhaa rah jata hoon
phir saath deti hai meri parchhai
main aur meri tanhaai

***jugalmilan***

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Dedicated to: every family persons
Dedication Summary: this poem is do not negotiate because life is very dangerous when u help any one.......
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success