raziuddin razi

raziuddin razi Poems

mukamal chaand aadha reh gia hy
mray bin koi tanha reh gia hy

kabhi kuch khat puranay daykh layna
...

muhabat mashwaron pand-o-naseehat aur taveelon kay taabay to nahin hoti

muhabat khud batati hay kahan kis ka thikaana hay
kisay aankhon main rakhna hay kisay dil main basaana hay
...

aaj kirnon ny jo her samt say ghayra hy mujhy
us nay bhar poor nazar say abhi daykha hy mujhy

main kabhi aankh macholi bhi nahin jeet saka
...

kisi ki fatah ka is waastay saaman nahin hotay
keh hum barbaad hotay hain magar weeran nahin hotay

meri aankhon main aksar jhaankta hay us ko batlaao
...

kisi tabeer ki khahish main yeh jeewan gaNwaatay hain
agar ik khaab daykha hy to qeemat bhi chukaatay hain

hamaray is safar ka jaanay ab anjaam kaysa ho
...

bus yehi soch kar hua tha alag
tera mujh sy jo raasta tha alag

jab woh pehli dafa mila tha mujhay
...

kisi ka phir sahara chaahta hoon
aziat hi dobara chaahta hoon

yeh mayra karobar e zindagani
...

tayray bin mera jeewan fasaana sa hay
yeh naya saal kitna puraana sa hay

bay zameeN ko zameeN kha rahi hy yahan
...

The Best Poem Of raziuddin razi

Aadha Reh Gia Hy

mukamal chaand aadha reh gia hy
mray bin koi tanha reh gia hy

kabhi kuch khat puranay daykh layna
kisi main mayra wada reh gia hy

kisi ko hijr nay sayraab rakha
koi qurbat main pyaasa reh gia hy

saza kut bhi gaai aur mujrimon main
hamara naam likha reh gia hy

hamaray saath kia kia jhaylta woh
bichar kar kitna acha reh gia hy

ajab raftar hy is zindagi ki
ke jo jaysa tha waysa reh gia hy

razi main her kisi say poochta hoon
safar jeewan ka kitna reh gia hy

razi-ud-din razi

raziuddin razi Comments

Farzana Naina 20 November 2008

Salaam Razi Sahib, Good to see you here, I'll soon take some time out to read your poems and comment on them, look forward to enjoy this read. Take care.

1 0 Reply

raziuddin razi Popularity

raziuddin razi Popularity

Close
Error Success