Farzana akhtar

Farzana akhtar Poems

Hai zara sa safer guzara ker
Chand lamhey faqat gawara ker

Dhoop mein nazm baadlon per likh
...

Khwahishein hosh khoye jatee hain
Dar ke beech boyey jatee hain

Ungleeyon se lahoo tapakney laga
...

Miley gi meri bhi koi nishani cheezon mein
Paree hui hon kahein mein purani cheezon mein

Mere wujood se qaim hain baam-o-der mere
...

Saahil ke paas tanha
Ik peirr nariyal ka
Ik khwab dhoondndta hai
Yadoon mein bheega bheega
...

Zara Si deir Yahan Roshni Uterne Do
Zara Si Deir Meri Saas Ko Mehekne Do
Khushi Ki Jout Liye Sansanati Purwaee
Palak Palak Pe Meri Khwab Tankney Aee
...

Mohabbat Hai Kaee Masoom Rangon Se Bani Tittli
Jisey Choo Ker Mein Koray Kaanch Ki Man-nind Pighli Hon
Khushi Ke Rang Ko Choo Ker
Haya Se Surkh Rehti Hai
...

Usey soch ker khoob roya karon gi
Judaee pe ab mein bharoosa karon gi

Na ab dil ki chowkhat pe utrey ga koi
...

Jab bhi khushbo sa mere dil ne bikherna chaha
Rang pholon ne lahoo mein mere bharna chaha

Raah mein soch ki deewar uthaadi us ne
...

Roshni se shabein curaati hon
Roz dukh ke diye bujhatee hon

Chaand chahat ke likhti rehti hon
...

Roz dekha hai shafaq se wo pighalta sona
Roz socha hai ke tum merey ho merey ho naa

Meiney Kanon mein pehan lee hai tumharee aawaz
...

Koi bhi na deewar per se pukarey
Magar zehan yaadon ke upley utaarey

Mein palkein bichatee rahon gi hawa per
...

Raat bhar dekhey paharron pe barastey mausam
Laala-roo bheegay kinaaron pe sulagtey mausam

Raat ke khaalee katorey ko labalab ker ke
...

Hawa se raakh mein sulgi umang urrti hai
Khayaal mein koi rangeen patang urrti hai

Paron ko khol chuke hain judaee ke lamhe
...

Mere Khayaal ke bar-aks wo bhi kaisa hai
Mein chaon chaon si larrki wo dhoop jaisa hai

Hai titliyoon ke paroon per likha hua chehra
...

Sapne bunte naina per
Hont jab apne rakhdo gey
Dheere dheere sargoshi mein
Kaanon se kuch kehdo gey
...

The Best Poem Of Farzana akhtar

Hai Zara Sa Safer Guzara Ker

Hai zara sa safer guzara ker
Chand lamhey faqat gawara ker

Dhoop mein nazm baadlon per likh
Koi perchaein Ista-araa ker

Choui moee ki eik pat-tee hon
Dor hi se mera nazara ker

Aasmanon se roshni jaisa
Mujh pe Ilhaam ik sitara ker

Pehle dekha tha jis mohabbat se
Ik nazar phir wohi dobaara ker

Kho na jaye ghubaar mein naina
Mujh ko aey zindagi pukaara ker

Farzana akhtar Comments

Farzana akhtar Popularity

Farzana akhtar Popularity

Close
Error Success