Muhabat Yaad Rakhti Hay Poem by raziuddin razi

Muhabat Yaad Rakhti Hay

Rating: 2.5


muhabat mashwaron pand-o-naseehat aur taveelon kay taabay to nahin hoti

muhabat khud batati hay kahan kis ka thikaana hay
kisay aankhon main rakhna hay kisay dil main basaana hay
rihaa karna hay kis ko aur kisay zanjeer karna hay
mitaana hay kisay dil say kisay tehreer karna hay
gharonda kab giraana hay kahan taameer karna hay

muhabat mashwaron pand-o-naseehat aur taveelon kay taabay to nahin hoti

usay maaloom hota hay safar dushwaar kitna hay
kisi ki chashm-e-girya main chupa iqraar kitna hay
shajar jo girnay waala hay woh saaya daar kitna hay
safar ki har saoobat aur tamaazat yaad rakhti hay
jisay saaray bhula daalain muhabat yaad rakhti hay

muhabat mashwaron pand-o-naseehat aur taveelon kay taabay to nahin hoti

keh is kaa koi bhi mosam kabhi yaksaaN nahin hota
keh is ka raasta hargiz razi weeraaN nahin hota
waheeN imkaan hota hay jahan imkaaN nahin hota
muhabat raaston main ik alag rasta banaati hay
jahan koi nahin sunta wahaaN qissa sunaati hay
........................
muhabat mashwaron pand-o-naseehat aur taveelon kay taabay jo nahin hoti
usay kia raaston main phool kitnay dhool kitni hay?
kisi naazuk samay main jo hui thee bhool kitni hay?
usay kia phool say haathon main ab tak khaar kitnay hain?
ya dushman ghaat main baythay pas-e-deewaar kitnay hain?
usay kia jaagti aankhon main pinhaan khwaab kaisa hay?
or us main wasl ki khaatir koi baytaab kaysa hay?
usay kia shaam kaysi talkhi-e-ayaam kaysi hay?
usay kia zindagi kis ki kisi kay naam kaysi hay?
usay kia chaahaton main soorat-e-aalaam kaysi hay?

COMMENTS OF THE POEM
A . 16 August 2009

kisi ki chashm-e-girya main chupa iqraar kitna hay .. nice :)

0 0 Reply
Ashraful Musaddeq 17 September 2008

Muhabat is world of love. Who is gonna yaad?

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success