Tu Hi Hai Meri Manzil Poem by Shrini Deewana

Tu Hi Hai Meri Manzil

Rating: 5.0


Tumahare baahon mein simat jaana mein chaoon sanam,
Tumahare honthon ke mithaas ko mein chakna chahoon sanam,
Sada hi tum ho meri aur sirf meri hi rahogi tum dilbhar,
Hamesha tumahare sang hi rehana chahoon mein sanam.

Zindagi ke raah guzar rahi thi koi musafir ki rahon ki tarah,
Na koi manzil aa rahi thi nazar na koi tha caarvaan,
Door tak sooni thi raahein aur nahin aati thi kuch nazar,
Thak gaya tha mein chalte chalte aur ho raha tha mein bekhabar.

Khud ko jab is duniya mein akela mehasoos mein tha kar raha,
Us ghadi na jaane kahan se tu aayee aur thaam li tune mera haath,
Sooni raahon mein tu aake chal padi tu bhi mere hi saath,
Ab hum dono chal rahe the thaame haathon mein ek duje ke haath.

Ab safar kateen nahin hai mere saath mere hai jo mera humsafar,
Ek din dilbar mere tu baahon mein apne sone de mujhe,
Baahon mein tere rakh ke apna sar rona chahata hoon dilbar mere,
Aaj tak jo gham hai dil mein bhara us se bheeghona chahoon mein tujhe.

Tere ghesuon ki chaon mein kuch pal mein sona chahoon dilbar mere,
Thak gaya hoon jeevan ke daud mein ek din bas sula de tu mujhe,
Tere bahon ke aasre mein bas sama le oh dilbar ab tu mujhe,
Mujhe aur kuch bhi nahin chahiye ek tere siwa oh dilbar mere.

Tu hi hai jeevan meri tu hi hai manzil meri tu hi hai mere humsafar,

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 16 August 2016

Tere ghesuon ki chaon mein kuch pal mein sona chahoon dilbar mere, Thak gaya hoon jeevan ke daud mein ek din bas sula de tu mujhe, Tere bahon ke aasre mein bas sama le oh dilbar ab tu mujhe, Mujhe aur kuch bhi nahin chahiye ek tere siwa oh dilbar mere. kia aashiqana sher hai.. muhabbat bari gazal bahuth khoob...excellent..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success