Na Rootho Tum Humse Kabhi Poem by Shrini Deewana

Na Rootho Tum Humse Kabhi



Jab tum roothi rehati ho mera mann udaas ho jaata hai,
Jab tum roothi si baatein karti ho dil mein dard sa ut tha hai,
Tum hi ho sanam mere dil ki dhadkan tum bin jee na sakenge hum,
Yun rootha na karo tum mujhse sanam aansoo chupana mushkil ho jaata hai.

Na jaane kiski nazar lagi hai aaj apne mohabbat ko,
Yun roothi hai mere dilbar mujhse ke baatein tak nahin karti,
Mein to tadaptha hoon tumse hi baatein karne ko sanam,
Aur koi chahat nahin hai mujhe sanam tumse.

Mere dil ka dard mein tujhe mein karoon bayan kaise,
Mere dil ki tadap sanam mein tujhe dikhaoon kaise,
Kaise samjhaoon tujhe haal-e-dil mera sanam,
Jee nahin paoonga mein tum bin oh mere sanam.

Tujhse hi judi hai jeevan ki har ghadi meri,
Tujhse hi bandhi hui hai jeevan ki har khushi meri,
Tum jab bhi na hoti ho sang mere sanam,
Din bhi lag rahi hai mujhko to kaali raatein.

Yun na rootho tum mujhse hai humsafar mere,
Toot na jaaoon mein kahin yeh darr lagta hai mujhko,
Tumahare bin nahin hai jeena mujhe ek pal bhi,
Tumahare saanson se judi hai har ek saansein meri sanam.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success