Tera Intezaar Hai Sanam Poem by Shrini Deewana

Tera Intezaar Hai Sanam

Intezaar rehati hai nazron ko tumahari ek jhalak paane ke liye,
Intezaar rehati hai dil ko tumahari ek aahat sun ne ke liye,
Sanam hum bhi intezaar mein hi baithe hai us din ka,
Jab sanam ke ek jhalak dikhayee degi aur aahat sunayee degi.
Na jaane kab aayegi woh ghadi aur kab khatam hogi intezaar meri

Thak gaya hoon mein sanam tera intezaar karte karte.
Duniya to kehate hai ke intezaar ka phal meetha hota hai,
Par dar raha hoon ke jab intezaar khatam hogi us pal,
Duniya yeh na kahe mujhse ke meetha mana hai tumahare sehat ke liye,
Darr raha hoon aaye na koi baadha sanam tere intezaar mein.

Tumse milne se pehale itni bechaini nahin thi mere dil mein,
Jab se dekha hoon tumhein bad gayi hai hadh se zyaada bechaini meri,
Sanam teri har baat aur har ada aati hai yaad mujhko,
Kabhi nazron se door nahin hat thi hai sanam surat teri,
Tadapta hoon phir se milne tujhko na jaane kab hogi puri woh muraad meri.

Jee karta hai sab kuch chod kar tere paas aa jaaoon mein sanam,
Aakar tere paas tere daaman hi mein chup jaaoon sanam,
Phir se kheloon mein zulfon se tere aur choom loon tere gaalon ko,
Aur choomoon tere madh bhare honthon ko mere dilbar,
Aur dekhoon woh teri sharam aur haya oh mere sanam.

Sana bas itna kehana choonga aaj mein tujhse,
Tere bin jeevan meri ab kuch bhi nahin hai oh mere sanam,
Tum hi ho saansein mere aur tum hi ho mere dil ki dhadkan,
Tum bin kisi bhi kaam mein ab lagta nahin hai mera mann,
Sanam tum bin ab kuch bhi nahin hai ab yeh jeevan Deewane Ki.

Har pal mujhe yaad aati hai sanam woh saari beeti baatein,
Yaad aati hai mujhe har pal apni woh saari mulaakatein,
Jo bhi ghadi beeti hai tere baahon mein oh mere Sanam,
Mere jeevan ka sabse haseen pal hai bas wohi pal Sanam,
Kaise bhooloonga mein apne jeevan ke sabse haseen pal Sanam.

Karta hoon dua ke aaye phir laut ke meethi woh ghadi,
Jab hogi tum Chandni banke saamne mere hi khadi,
Bhar loonga mein tumhein baahon mein apne Sanam,
Bhool jaayenge hum tum duniya ko bas sada ke liye,
Aur bankar rahenge hum dono bas ek duje ka Sanam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success