Dil Chahata Hai Poem by Shrini Deewana

Dil Chahata Hai

Dil Chahata hai ke mein choom loon tere gulaabi honthon ko,
Jo nasha hai tere honthon mein use peeke madhosh abhi ho jaaoon abhi,
Hosh mein rehana hai kise jab tum baithi ho saamne mere,
Tere baahon mein samaakar dono badan ki aag ko mein bhujaaoon abhi.

Lete rahoon mein lekar tujhe apne baahon mein,
Door hone na doon ek pal ke liye bhi tujhe mere nazaron se,
Tere saanson ki garmi ko sanam mein mehasoos karoon,
Deewana hoke sanam tujhe mein bahut pareshan mein karoon.

Jaane kab aayegi woh ghadi jab hum honge ek duje ke baahon mein,
Seene se lag jaaoon tere aur unhein le loon mein apne haathon mein,
Ai sanam tadap jo mere dil mein hai ab saha jata hi nahin,
Dil ke is tadap ko ai sanam tu hi bata kaise mitaoon mein.

Dekhna chahata hoon ai sanam tujhko mein itna kareeb se,
Tere tan ke har mehak ko mein basaa loon apne seene mein,
Tere zulfon se kheloon mein tere badan ko mein taraash doon,
Teri har adaa ko mein banake tasveer apne palkon mein utaar doon.

Ai sanam tu hai zindagi meri ai sanam tu hai har khushi meri,
Deewana ki har khushi
Phir jab bhi aaye yaad teri tere mehak hogi mere hi kareeb,
Dil Chahata hai sanam ek baar mein bas mil loon tujhse,
Phir nahin rahegi koi gham dil mein zindagi bhar meri.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success