Mohabbat Mein Intezaar Poem by Shrini Deewana

Mohabbat Mein Intezaar

Kehate to hai woh humein apna par hamare liye unhein waqt nahin,
Jaanta hoon majboori hai par aisi bhi majboori nahin,
Jo kuch lamha nahin bita sakte unke liye jinhe woh kehate hai apna,
Arz karta hai yeh ‘Deewana’ tumse ai mere sanam mer dilbar,
Waqt kuch nikalo unke liye jinhe tum kehati ho apna.

Waise to hum karte rehate hai intezaar unka badi lambi ghadi,
Par jab woh aate hai saamne to unhein jaane ki hai bahut jaldi,
Mein nahin jaanta ke kaun sahi hai aur hai kaun galat,
Bas yeh chahata hoon ke tum mere sang bi bitao kuch apni waqt,
Aur us ghadi ko mein apne dil mein sada ke liye kar loon qaid.

Har ghadi bas intezaar karana hi mere sanam pyaar nahin,
Saath kuch waqt bitana bhi mohabbat mein bahut zaroori hai,
Mein yeh nahin kehata hoon ke tum nahin rehati ho kabhi mere sang,
Tere saath ka jo lamha hai woh to intezaar ke ghadi se bahut kam hai,
Thak gaya hai yeh ‘Deewana’ to tere intezaar mein oh mere sanam,
Ab to bas khwaish yeh hai ke mar jaaoon tere baahon mein sanam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success