Mohabbat Kya Hai? Poem by Shrini Deewana

Mohabbat Kya Hai?



Usne humse poocha Mohabbat kya hai?
Mohabbat kya hai use hum kaise bataye,
Aadhi umar beet chuki hai mere is duniya mein lekin,
Mohabbat kya hai ab tak hum yeh samajh nahin paaye.

Mohabbat ki paribhasha sab ki alag hai,
Mohabbat mein aasha sab ki alag hai,
Mohabbat se badh ke kuch bhi nahin is jahan mein,
Mohabbat kea age jhukta hai aasmaan bhi.

Koi keha raha hai mohabbat hi aasmaan hai,
Koi keha raha hai mohabbat hi yeh jahan hai,
Koi puchtha hai ke Mohabbat kahan hai,
Koi keha raha hai mohabbat har dil mein jawan hai.

Meera ke bhakti mein bhi hai mohabbat,
Radha ke shraddha mein bhi hai mohabbat,
Dono ke mohabbat ke manzil ek hi hai lekin,
Dono ke mohabbat ke raaste alag alag hai.

Dono ke yaadon mein basa hai bas kanha,
Dono ke dilon mein bas chupa hai kanha,
Dono ke dilon ki mohabbat hai kanha,
Dono ke dilon ki dhadkan hai kanha.

Koi kehata hai mohabbat hai shakthi to,
Koi kehata hai mohabbat hai bhakti,
Kisi ke liye shraddha hi mohabbat hai to,
Kisi ke liye pooja hi mohabbat hai.

Zehar ko bhi amrut banati hai mohabbat,
Sholon ko bhi phoolon mein badalti hai mohabbat,
Bhari hai khuda ne itni taakat mohabbat mein ke,
Saari duniya se bhi kabhi lad jaati hai mohabbat.

Ab humse na koi yeh puche mohabbat kya hai,
Mohabbat hai yeh jahan mohabbat aasmaan hai,
Mohabbat se rangeen yeh saara jahan hai,
Mohabbat hi duniya ka sabse haseen sama hai.

Saat suron mein dooba saaj hai mohabbat,
Is duniya ka sabse haseen raaz hai mohabbat,
Khuda ke banayee beshumaar taaj hai mohabbat,
Do dilon ko baandhne waali aas hai mohabbat.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success