Aap Ke Aane Ke Baad Poem by Shrini Deewana

Aap Ke Aane Ke Baad

AAP KE AANE KE BAAD

Khushiyaan aayee hai zindagi mein aap ke aane ke baad,
Muskurahat aayee hai chehere pe aap ke aane ke baad,
Kehane ko to zindagi hum bhi jee rahe the pehale se magar,
Zindagi jeene ka mazaa aaya hai aap ke aane ke baad.

Dil to dhadak thi thi mere janam se hi magar,
Har dhadkan mein aap ka naam hai aap ke aane ke baad,
Pyaar ishq aur mohabbat ke baatein sune the hum bhi magar,
Mohabbat kya hai yeh samjh paya hoon aap ke aane ke baad.

Saagar ka ek kinara to pehele se hi tha mein magar,
Duje kinaare ko dekh paaya hoon mein aap ke aane ke baad,
Hum dono ke beech ki jo yeh doori hai yeh sirf saagar nahin,
Yeh saagar bhi ab mohabbat ho chuki hai aap ke aane ke baad.

Saagar ki har leharen pehele sirf ret laati thi mujh tak magar,
Ab yeh leharein mohabbat ka paigam lati hai aap ke aane ke baad,
Raat jagne ka koi shauk nahin tha mujhe pehele magar,
Ab neendh hi nahin aati hai humein aap ke aane ke baad.

Aankhon se pehele bhi kabhi chalka karte the aansoon magar,
Yeh aansoon bhi ab moti ho gayee hai aap ke aane ke baad,
Pehele jo chalakte the woh to sab the aansoon gham ke magar,
Ab yaadon ki aansoon chalakne lagi hai aap ke aane ke baad.

Jab miloonga tumhein, pehanaoonga tumhein un motiyon ki mala,
Jo banaya hai maine aasoonon se jo aayee hai aap ke aane ke baad,
Tab tum jaan paaogi kitne aasoon chalke hai mere aankhon se,
Jo chalaki hai yaadon mein sirf aap ke aap ke aane ke baad.

Aisa ek pal bhi nahin hoga jab yaad teri na satati ho humein,
Na jaane itna dil kyon tadapti hai ab aap ke aane ke baad,
In tadap ko mein apne dil se nikaloon to nikaloon kaise,
Mera dil to mere bas mein hi nahin hai aap ke aane ke baad.

Kehane ko to pehele bhi hum likthe the magar,
Mere lekh mein jaan aayee hai aap ke aane ke baad,
Mohabbat ke bahut se daastan padhe hai humne magar,
Ab khud apne mohabbat ki daastan banaya hai aap ke aane ke baad.

Kal tak log Laila Majnu ka naam lete the mohabbat ki baatein karne,
Kal woh hamari tumahari mohabbat ki baatein karenge,
Mohabbat ki aag dil mein lag gayee hai hamare tumhare,
Yeh sab kuch hua hai bas aap ke aane ke baad.

SHRINI “DEEWANA”

COMMENTS OF THE POEM
Sumit Sagar 13 February 2019

Hayeee kya poetry h yaar....dibana ho gya m ti

0 0 Reply
Sarwar Chowdhury 27 September 2008

wa wa kamal ki bat! Impressive urdu composition indeed.............10+

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success