Agar Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein Poem by Shrini Deewana

Agar Tum Naa Aate Mere Jeevan Mein



Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,
Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,
Kaise milta mujhe itna saara pyaar jo paya hoon tujhse,
Mere chehre ki muskurahat na jaane kahan chupa hota.

Zindagi bas jee rahe the hum jeene ke liye,
Zindagi kya hai yeh samjha hoon jab se paya hoon tumhein,
Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,
Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Jo pyaar lutaya hai tune mujhpe woh bhala koi aur kya luta pata,
Tarasthi thi jeevan meri bas pyaar paane ko,
Khush naseeb hoon mein jo paya hoon sacha pyaar tera,
Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,
Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota,

Tu hi meri jeevan hai aur tu hi hai mere dil ki dhadkan,
Tere bina ab jeevan ke ek pal bhi mujhe jeena manzur nahin,
Yeh to ab soch ke bhi dil ghabratha hai sanam,
Tum agar na aati mere jeevan mein to mera kya hota.

Mere malik ai khuda shukra guzaar hoon mein,
Aisa ek pyaar jo mere jeevan mein laya hai tune,
Bas dua hai mere ab ek baar tu mujhe mila de us se,
Jisne nyochar kiya hai jeevan mein itna pyaar mera.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success