Kavitha.....Masale Waali Chai! Poem by Geetha Jayakumar

Kavitha.....Masale Waali Chai!

Rating: 5.0


Chai to paani se hi banthi hai
Sirf paani he hamari pyaas bhuja sakthi hai.
Ubalthe huae pani mein thodi se
Chai patti dali jaye
To kaali chai kehlaathi hai
Jiska maja to kuch aur hi hai
Thodi see aur masale milalee jayee
Jaise ki adrak aur elaichi
To masaledar ho jaathi hai
Jiska maja to kuch aur he hai
Ab aur chatpati karne ke liye
Thodi doodh mila liya jayae
Bas shakkar ki kami hai
Usse bhi poora kiya jaaye
Aab jara chhakh kar dekhiye janaab
Kaisi bani hai hamari chai...
Masaledaar aur chatpati bani hai.

Jindagi mein bhi agar hum
Eaisi hi thodi thodi masale chidkh dein to
Zindagi jeene ka maja kuch aur hi ho jayega
Chai ka rang feeka na padne dein
Nahin to maja hi nahin ayeega
Chai thandi ho jaaye to aswad ho jaathi hai
Zindagi nirass hone se pehle hi
Kuch to eaisa chatpata kijiye ki
Zindagi mein khushboo daudthi huai aa jaaye
Zindagi jeene ka maja abb lehli jiye.
Aur zindagi ko berang hone se bacha lijiye.

Chai to chai he hai
Aur zindagi humari dhadkan
Is dhakan ka maja chai ke saath liya jaaye
Toh maja kuch aur he hai...

Kavitha achhi lage to wah wah to kijiye
Chai achhi lage to shukriya to kijiye.

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.

Geetha Jayakumar.

Wednesday, August 14, 2013
Topic(s) of this poem: poem
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
The English version of this poem:

Sprinkle some spices in life!
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 18 August 2016

Wow! Wah! Wah! Shukriya! By all means, this is an impeccable poetic composition. I am fortunate to be here to enjoy a variety of chai incuding 'Masale Waali Chai! ' as well as its analogy with our life which also needs to be spiced up a little every now and them. Thanks. *** Aab jara chhakh kar dekhiye janaab / Kaisi bani hai hamari chai... Kavitha achhi lage to wah wah to kijiye / Chai achhi lage to shukriya to kijiye.

0 0 Reply

Wow! Zabrdust. Aap ny boht khoobsurath kavitha likhi hai. Wakhee zindage chatpati chai ke tarah rangdar honi chaye ye. Na k bayrang.

0 0 Reply

Wow! Zabrdust. Aap ny boht khoobsurath kavitha likhi hai. Wakhee zindage chatpati chai ke tarah rangdar honi chaye ye. Na k bayrang.

1 0 Reply

Wow! boht kobsoorat kavitha aap ny liki hai. Wakhi zindagi Masaledaar aur chatpati chai ke tara rangdar banani chaheye, na k bayrang.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success