Kavitha....Paron Ki Aahat! Poem by Geetha Jayakumar

Kavitha....Paron Ki Aahat!



Her aahat paron key
Darwajee per dastak de rahi thee
Jo mein aapki samajh baithi
Aur her aahat sunkar
Mere kadam darwajey ki aur badd jaathe
Aur mere haath jaldh he darwajey kholne ke liye taras jaathe

Maine aapke liye shringar kiya
Aur ek muskuraahat say aapko
Sweekar karne ke liye taiyyar khadi rehthi thee.
Meri aankhon ko aapka hi intezaar tha.
Aapki Ek jhalak dekhne ke liye.

Din nilkalthe gaye...
Hum ek hi chhath ke neeche ajnabiyon ki tarah reh rahe thae
Subah jaathe vakth aur sham ko aathe vakth
Bas haath dikha dey diya karthe thae.
Aapne kabi bhi meri aur muud kar nahin dekha
Aapke ek muskuraath ke liye mein bechain thi
Aap se bahuth kuch kehna chhah rahi thi
Kaash aap mujhe ek jhalk he dekh lethe

Yeh har roj ka silsila ban gaya
Aur din ba din mera utsaah niruthsaah mein badaltha gaya
Aur pyaar mera kam hotha chala gaya
Eaisa lag raha tha aap mujh se doori rakhna chhah rahe ho.

Kya kabhi bhi aapko woh sunhare din
Yaad nahin ayae
Jo humne ek saath gujaare thae
Humnei ek saath jo kasmeen khayee thee
Woh aap kaise bhool gaye....
Kya kabhi mere kadam behak gaye thae?
Ya mere dil mein, kya koi aur basa hai?
Jo Key.......
Aap mujshe yunh itne rookhe rookhe say kyon rehthe ho

Mein aaj bhi aapse utna hi pyaar karthi hoon
Jitna kiya karthi thi
Her din aur raath mujhe aapka hi intezaar rehtha hai.
Bus mein itna aapse pyaar karthi hoon!

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.

Geetha Jayakumar.

Saturday, August 17, 2013
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
English version of this poem

Each Footsteps!
COMMENTS OF THE POEM
Yasmin Khan 17 August 2013

For years I've been away from Urdu as my scholastic concerns have been with English as a student and teacher but when I came across nice Urdu verse from my country and across the borders on PH, all my love for the language woke anew. I liked your nice and soft love song though some Hindi words I could not grasp fully, (I could get it's theme) .

0 0 Reply
Unwritten Soul 17 August 2013

Thank you for your comments on my poem..Come To Me (Like The Evening Breeze) is a song, if you want to listen it i am pleasure to share with you :) ...i dont know urdu but i still want to remark my presence here hahahaha_Soul

0 0 Reply
Akhtar Jawad 27 June 2014

Geetha aap ki yeh kavita padh kar mujhe Sahib Bibi aur Ghulam ki Meena Kumari yad aa gayee, khas taur se us movie ka yeh gana Piya aiso jiya mein samaye gayo re, Ke main tanman ki sudh budh ganwae baithi, Har aahat pe samjhi woh aaye gayo re, Jhat phoolan ki sejiya pe jaey baithi. A beautiful poem.

1 0 Reply
Shahzia Batool 20 August 2013

beautiful feelings narrated so poetically in the most poetic language! ! !

0 0 Reply
Ashish Sharma 20 August 2013

aaaahhh... what a nice 1 Ma'm! ! !

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 18 August 2013

Nice poem about shringar of women..(Mil gaye hont to har saans me sargosi hai, mere ijhaar se badakar meri khamoshi hai) read at my childhood don't remember the name of a poet well write Ma'am

0 0 Reply
Deepak Sawhney 18 August 2013

Tanha tanha yeh zindagi guzaar di Unko ehsaas tak na hua Hum hain, jo unko hijr mein aaj bhi yaad karte hain Well...the above couplet I wrote on the spur of the moment after reading your poem. Geetha I didn't know that you that you had a flair for Urdu? A great effort ma'am: -) . Please don't give it up & thanks for the share.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success