Kavitha.....5.Pyaar Ki Aahaat! Poem by Geetha Jayakumar

Kavitha.....5.Pyaar Ki Aahaat!

Rating: 4.9


Baarish ki woh pehli khushboo
Mann ko yuh luba gayee
Jaise ki koyee pyaar ki aahat
Mann mein thama gayee.

Suraj ki nayee kirane
Ek nayee umang lekar aa gayee
Manoo koi dil ki gehrayee ko
Pyaar se choo kar jaa rahi ho.

Bhavrein humein ched kar
Humare dil se yeh pooch rahi ho
Ki kya chal raha tumhare dil mein
Ki tum pyaar se sharma rahi ho.

Khilthe huae phool ki mehak
Humare chaaron aur mandra rahi ho
Jaise key koi pyaar ki kushboo
Humse lipat rahi ho.

Daudthi hui Pyar ki natkhat lehron ne
Hum per pyar ka fuvvara barasa diya
Ki maloom hi nahin pada ki
Hum kab uss pyaar mein fisal gaye.
Aur woh humein jakadkar dil ki gehrayee mein duba le gayee.

Pyaar ki aahat hi eaisi ki
Woh apna roop badal kar aathi hai
Hume apne jakad mein le lethi hai
Ke hum apne aap ko chuda he nahin paathe!

©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.

Geetha Jayakumar.

Wednesday, August 7, 2013
Topic(s) of this poem: poem
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This is my very first attempt to write one romantic song. I took inspirations from your poems..I wanted to come up with something new.

The english version is in

When Love Speaks!
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 18 August 2016

Lovely poem. Thought, it might be your first attempt at writing in Hindi, but is has all the perfection of a classical Romantic Poet. Thank you, Geetha ji. Please keep it up. Baarish ki woh pehli khushboo Jaise key koi pyaar ki kushboo Humse lipat rahi ho.

0 0 Reply
Shahzia Batool 12 August 2013

your pen has a great bonding with your thoughts...lagta nhi he keh yeh pehli baar likha he...itna mukammal he...well-done! ! !

0 0 Reply
Tadasha Tripathy 08 August 2013

Wonderful! ! mem It is touching the core of heart.Thanks.Thanks for Your comments.

0 0 Reply
Ramesh Rai 07 August 2013

bahut achhi lekhini hai. yedi samay mile to meri kuchh hindi kavitayen padh le jaise kavita meri preyasi nilam etc . regards

0 0 Reply
Rubab Atwal 07 August 2013

bohot sunder likha.god bless you.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success