Ghazal-Tanhai Poem by Bano Ali

Ghazal-Tanhai

Rating: 5.0


Tum door they jabbhi tanha thee ab pas ho phir bhi tanha hoon,
Yeh qurbat kaisi qurbat hay main khud se batein karti hoon,
Kabhi waqt mile to sochna tum khamoshi bhi kutch kahti hay,
Main pehle kitna bolti thee ab keyun itna chup rahti hoon.
Tum aate they to hansti theetum jate they to roti thee,
Na hansti hoon hoon na roti hoon na jeeti hoon na marti hoon.
Jis goshe mein sabse chup chup kar hum ghanton baten karte they
Ghar ke us tanha goshe mein chupchap main baithi rahti hoon,
Jo sochein gum theen dobarah maileen, tanhai bhi ek niamat hay,
Jo bhool geya tha yad aaya jo yad aaya woh likhti hoon.

Monday, November 3, 2014
Topic(s) of this poem: loneliness
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 30 September 2015

Wow Kya baat hai badalte waqt ke sath badalte rishton ka kya khoob manzar dikha diya aapne.......... Kabhi waqt mile to sochna tum khamoshi bhi kuch kahti hay, Jo bhool gaya tha yaad aaya jo yaad aaya woh likhti hoon. Lovely..............10+++++

1 0 Reply
Free Bird 22 August 2015

Iss ghazal ka har misra mujhy bht acha laga hae.....

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 01 June 2015

Bahuth khoobsurath ghazal hai aapki. Loved reading it. I also wrote one ghazal named in Tanhai. But didnt post it yet. Its my favourite topic.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 03 November 2014

Khoobsoorat Ghazal achi lagi pasand aai..............10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success