Encomium Ii (Urdu) Poem by Shahzia Batool

Encomium Ii (Urdu)

Rating: 3.9


Karri dopeher mein rahmat ka saibaan likhun
K roz e hashr k sehra mein gulsitan likhun

Wo jin k naam ka lena sawab ho jaey
Mein aa'n Janab ki azmat ka kia bayan likhun

Uss abr e doulat e rahmat ki chhaon sir pe rahe
Ussay mein nur kahun, sukh ka aastan likhun

Kitab e dil ka hr ik warq ba wazoo kr dun
Ali ka bhai likhun, Fatima ki jaan likhun

Palay hon jis pe Hassan or Hussain bachpan mein
Mein esse dosh ko shafqat ka aasman likhun

Woh jis k khiltay hi jannat mein phool khiltay hon
Mein kia tabassum e be-misl ka bayan likhun

Batool naat e Muhammad ki roshni he boht
Mein zikr-e-pak ki mehfil ka kia samaan likhun!

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 24 December 2015

Jazak Allah! Ek lajawab naat....................................

0 0 Reply
Yasmin Khan 04 July 2015

Jazak Allah! I find no words to admire your creation. It is simple and comes from the depth of your heart. Allah kry zore e qalam aur zyada

0 0 Reply
Muhammad Ali 07 January 2014

na mery hawaas mera sath dety hn, na hi kch lafz mjhy muhayya rehty hn, jb m aisi koi koshish krta hn. Allah ap ko ajr den gy.

0 0 Reply
Ramesh Rai 01 August 2013

Wo jin k naam ka lena sawab ho jaey Mein aa'n Janab ki azmat ka kia bayan likhun write such dialogue which brings melody of life

0 0 Reply
Jahan Zeb 14 May 2013

Zabardast. Darood Hazoor PAK (SAW) par

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success