Auction (Nilam) Poem by ramesh rai

Auction (Nilam)

Rating: 5.0


I composed this poem in 1976 but still survived
Bik gayee hai yeh jami(n)
bik gaya hai asman(n)
bik gaye sare chaman
bik gaya hai karwan
bik gaye kan kan bhugarbh ke
bik gaye ped paudhe pashu pakshiyan
ab kuchh na raha ish jahan me
hai sara jahan ab bik chuka
jo kuchh raha rasmo ke naam par
woh bhi to ab bik chuka
vigyan ki uplabdhiyan bhi
gayee vyapar ke ish khel me
jano aur abru bhi bik chuke
kaudio ke mole me
kuchh bika insaaf ke naam par
kuchh bike rahat ke naam par
haquiquat ki dunia me rahne wale bhi
bik chuke ab inqualaab ke naam par
jisne jitna paya loota khashota
kuchh dhar dabocha
aur ant tak byapar kar
marh liya sartaz ko
bus ab halaat ab aa chuki hai
jab insaan bhi hai bik chuka
tab talak to mujhko yaaro
jee lene do apne khayalo me
khamoshiyo me gar kuchh
jindagi ko bas jindagi de de

COMMENTS OF THE POEM
Tirupathi Chandrupatla 28 July 2013

Thank you for bringing my attention to this beautiful poem. I started thinking ' Jo bhi bach gaya vo bhi bik chukar.'

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 23 July 2013

Wonderful...write and that too of 1976..Enjoyed reading....Thanks for sharing! ! !

0 0 Reply
Shahzia Batool 10 July 2013

bachhpan me suna zamaana pur aashob he, har daur me yehi dekha, issi lye shayd kehte hen k jo iss duniya se gya woh acchhi jagah per he, agar 1976 me yeh halaat thay lekin phir bhi aaj hum waqt me zinda hen, iss ka matlab yeh he k koi counterbalancing forces zaroor mojood hoti hen jo sustainer saabit hoti hen jessa k ap ki last lines me he...nazam achhi ho to kissi bhi daur me uss ka essence disturb nhi hota, thanks so much for sharing! ! !

0 0 Reply
S.zaynab Kamoonpuri 07 July 2013

Ah wah poet khoob nazm, insan such bik gaya, he has to buy his soul again now. Tnx 4 yor coment too.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success