shaik sahal

shaik sahal Poems

Hoker basher adna khudai ka daawa karne chala,
Dekho aaj har insaan khuda banne chala.
...

Ab tazkera–e-bewafa na karo yaaro,
Ab ziker-e-husn-e-ada na karo yaaro.

Hamein muskurane mein masarrat kaha,
Ab gham-e-yaar se juda na karo yaaro.
...

CHURAKE LA!
{main is kalam mein apne dil se mukhatib hoon}

Saqee maikade se botal churake la,
...

The Best Poem Of shaik sahal

Insaan Khuda Banne Chala

Hoker basher adna khudai ka daawa karne chala,
Dekho aaj har insaan khuda banne chala.


Mitti se banker mitti mein milaye sabko,
Sar-e-aam maut ka tamasha karne chala.

Dekho aaj har insaan khuda banne chala.

kabhi apne fazal se nawaz saka na kisi ko,
aukaat apni bhoolker baadsha banne chala,

Dekho aaj har insaan khuda banne chala.


Daulat ki hawas jhuti shouhrat ki bhook hai,
Dikhawey se apna ruttba banane chala,

Dekho aaj har insaan khuda banne chala.


Anjaam se apne anjaan hoker aulad-e-Adam,
Naam-e-amaal ka apne khasara karne chala.

dekho'Sahal'aaj har insaan khuda banne chala.


Basher= creature.
Dikhawa=showoff.
Naam -e-amaal=record of deed [good/bad].
Ruttba=status.
Khasara=loss.

shaik sahal Comments

shaik sahal Popularity

shaik sahal Popularity

Close
Error Success