Churake La! Poem by shaik sahal

Churake La!

Rating: 5.0


CHURAKE LA!
{main is kalam mein apne dil se mukhatib hoon}

Saqee maikade se botal churake la,
Ruthke baitha hai sanam kabse mana ke la.

Gardish e ayyam ne sukoon se milne nahi diya,
Waqt e haazir se do pal churake la.

Unke tan ki mehak se mehka hai yeh badan,
Mush o amber se jake khushboo churake la.

Judai mein uski pagal sa hogaya hai, kahe
Majnu se jake uski laila churake la.

Ulfat e jayaz jagir hai meri,
Gurbat se jake meri ameeri churake la.

Meri acchiyan bhi unhe pasand aati hai bohut,
Badaamaliyon se meri naki churake la.

Makhlooq mein koi ghamzada na rahe,
Taqdeer se jake pehle hasi churake la.

Mere siwa koi unki tareef karey yeh gawara nahi humey,
Shayer se jake uski shayeri churake la.

Zameen-e-dil pe barsa nahi khayalon ka paani abtak,
Badal se jake unki yaadein churake la.

Akelepan ne unko chupchap sa kardiya hai,
Tanhaiyon se unki guftar churake la

Zindagi bhar saath dene ka humne bhi wada karliya,
Gardish-e-maut se unki hayat churake la.

Bandagi mein teri kuch zouq to paida kar “sahal”,
Awargi se pehle meri ibadat churake la.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
{main is kalam mein apne dil se mukhatib hoon}
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success