Tazkera–e-Bewafa ………… Poem by shaik sahal

Tazkera–e-Bewafa …………

Ab tazkera–e-bewafa na karo yaaro,
Ab ziker-e-husn-e-ada na karo yaaro.

Hamein muskurane mein masarrat kaha,
Ab gham-e-yaar se juda na karo yaaro.

Mila wo sabaq hamein dil lagane ka,
Ab dillagi ka tajruba na karo yaaro.

Rutha hai har koi is chehra-e-namurad se,
Ab dar pesh hamare aaina na karo yaaro.

Rehne do tar-ba-tar sharaab mein hamein,
Ab jaam noushi se mana na karo yaaro.

Tha qissa tera mukhtasar ae dil-e-Sahal,
Sare-aam sunake iska mazakera na karo yaaro.


Tazkera= charcha
massarat= khushi
sabaq=lesson
Namurad=unsuccessful
darpesh=infront of
tar-ba-tar=wet
Jaam noushi=peen se
mukhtasar=short
mazakera=funny.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
The bottom line is bewafa,

when someone leave u alone after a long term relation
then the hardest feeling rises i.e failure,

this i tried to convey the message by a failure lover.

i hope it reaches and win hearts.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success