reetika bajpai

reetika bajpai Poems

wo lawj the hi nhi mere pas jo hal-e-dil baya kr pate,
kash tm meri ghamoshi ko thoda sa waqt dete...
mere halaton se tum bhi muh mod k chal diye,
kash meri jhuki najro ko uthne ka mauka dete...
...

kab tak yun tanha rhenge dil..
kab tk tumhe yaad kr royega dil,
raat beetegi karwat badalte hue,
behte aansu ko chupke se pochte hue...
...

raah na dekho un bachpan k dino ki,
ab tumhe jimmedariyo ko badappan se nibhana hai..
mat dhoondho kisi ka sahara apna dard bantne k liye,
ab tumhe muskurahat ban k logo ka dard bantna hai..
...

har pal tumhe dhoondhti hai meri ghamosh najren,
kabhi to samne aa kr btao ki tum mujhme hi khi ho..
dard kaisa hai ye dil me wajh jiski nhi maloom,
seene se lga k keh do ki tum mujme hi khi ho...
...

kitni ajeeb paheli hai is jindgi ki bhi,
jb jiski jaroorat ho wahi chod jata hai..
shayad is sach se aaj bhi anjan hai mera dil,
jiske kareeb jao wahi door ho jata hai..
...

jane kaisi ye duniya hai aaj kal
jise dekh k rooh tk kaanp jaye...
sahara dhoondne chalo to kandhe to milenge,
par kaun kitna upar utha k gira de koi jaan na paye,
...

Ban k ansu yu palokon pe aaya na kro
door ho kar k aise sataya na kro
yaad aate ho har pal ye kaise kahe
ab tum mujhe aajmaya na karo...
...

kitne kisse kitabon mei padhe honge,
kuch apni jindgi k jaise lage honge,
to kuch dil ko gehrayi se choo gye honge,
kabi un kahaniyon ko gehrayi se soch kar dekho
...

agar daman bhigoya ho kisi ka ashq ban kar k,
khawahish hai ki mit jaun tadap ki aag mei jal k...
churayi ho jo muskuraht kisi k hothon se,
dua hai doob jaun gham mei phir mai jindgi bhar k..
...

The Best Poem Of reetika bajpai

Kash Tum Mujhko Thoda Sa Waqt Dete

wo lawj the hi nhi mere pas jo hal-e-dil baya kr pate,
kash tm meri ghamoshi ko thoda sa waqt dete...
mere halaton se tum bhi muh mod k chal diye,
kash meri jhuki najro ko uthne ka mauka dete...
khata aisi bhi kya thi meri jo tum yu khafa ho gye,
mere gunahon ka koi ishara to dete...
sath marne ki kasmei har baar khai tumne,
kbhi sath jeene ka mauka to dete....

reetika bajpai Comments

reetika bajpai Popularity

reetika bajpai Popularity

Close
Error Success