Meri Tanha Jindgi Poem by reetika bajpai

Meri Tanha Jindgi

kitni ajeeb paheli hai is jindgi ki bhi,
jb jiski jaroorat ho wahi chod jata hai..
shayad is sach se aaj bhi anjan hai mera dil,
jiske kareeb jao wahi door ho jata hai..


gham se door hue to tanhaiyon ne gher liya,
khushiyon k peeche bhaage to askon se samet liya,
maja usko bhi aata hoga jisne ye khel khela hai,
sath chalne ka wada de kr akele rahon me choda hai...


kya maangoon aj kismt se jb sath jindgi ne chod diya,
jise duniya samajh baithe wahi sisha toot gya,
bhool ki aaj phir jo kisi ko apna samajh baithe,
wo apna aaj phir paraye hone ka ehsas dila gya...

Thursday, July 14, 2016
Topic(s) of this poem: sadness
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success