Tera Pyaar Chahiye Poem by Shrini Deewana

Tera Pyaar Chahiye

Kabse kar rahe hai hum intezaar tere pukaar ki,
Na jaane kab hogi khatam woh ghadi intezaar ki,
Tadaptha hai dil sanam baatein karne tujhse,
Nam si hai yeh nayna mera sanam milne tujhse.

Tadap raha hoon mein sanam tujhe bhahon mein bharne ko,
Bhahon mein bharke sanam tujhse mohabbat karne ko,
Teri aankhein sanam bahut hi tadpaathi hai humko,
Jaage rehate hai raat bhar neendh nahin aati hai humko.

Khawabon mein har raat baahon mein bhare rehate hai tumhein,
Bahut pyaar karte hai tumhein aur pareshaan karte hai tumhein,
Tumahare aankhon ki haya dekhne ki kaabil hai us ghadi,
Jab tum sharm se sikud kar mere baahon mein rehati ho padi.

Choomtha hoon mein tujhe tere sharmilie gaalon mein sanam,
Choomtha hoon mein tere narmo naazuk honthon mein sanam,
Peekar tere honthon ke ras nashe mein choor ho jata hoon sanam,
Thaamlo mujhe apne baahon mein aur sambhalo mujhko sanam.

Tere baahon ke sahare ki zaroorat hai mujhe har ghadi sanam,
Tere zulfon ke chaaon ki zaroorat hai mujhe har ghadi sanam,
Kaise kahoon kya kya khwaab sajaye hai tumahare liye maine,
Kaise kahoon khawabon mein tumhein apna dulhan banaya hai maine.

Tere saanson ke saath mehakte hue saansein mujhko chahiye,
Sanam tere dil mein dhadakne waali dhadkan hi mujhko chahiye,
Ab zindagi ke har raah mein sanam mujhe saath tera chahiye,
Tu mujhe agar naa mile sanam to yeh zindagi nahin chahiye,

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success