Sharad Purnima - V Poem by ramesh rai

Sharad Purnima - V



Sharad Purnima ki raat mein
chand aahista aahista apni gati se
kuchh aage badh raha tha

use tanik bhi jaldibaazi nahi thha
wah to ratri ki nayeeka k saath
kuchh aur vihar karna chahata thha
lekin samay ki dor use khiinche chala jaa raha thha

wah samudra ki gahrayee ko mapta jaa raha thha
prashanta mahasagar
kitna shant, kitna gahara
kahi chandrama apni puri chandani ko
prashanta k liye nyochhawar to nahi karna chahata

tabhi to, prashanta k ur k antim satah se
upri satah tak kewal chandni dikh rahi thee

phie chandrama ki chandani
himalay k unche sikhar ko choom rahi thee
mano charo taraf kewal doodh ki nadyan
umar padi hon, sayad hi aiysa safed prawah
dharatal par nazar aata hai

puri shrishti ko tripta karne k baad bhi
doodh ka gagar bhara ka bhara rah jayega
puri vasundhara urvar ban jayegi
jo aakash aur paatal marg se hokar
kan kan ko sichti hai

COMMENTS OF THE POEM
Mansi kumawat 28 June 2018

Bhot hi adbhut kavita hai

0 0 Reply
Aparna Pathak 24 December 2012

bahut sunder kavita hai...sharad poornima ka chandrama yaad aa gaya

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success