Sharad Purnima - Iii Poem by ramesh rai

Sharad Purnima - Iii



Sharad Purnima k ratri prahar mein
pragar k sushma jal mein
jab shishu matsya mamta k aanchal ko odhe
nidra k god mein swargiya anand mein leen the
tab kuchh matsya, yauvan jinke jeevan ko dastak de rahi thee
abhisaar mein lipta, nayee shrishti mein leen the

har pushpa ki pankhuriyon par
osh ki bunde chandrama ki prakash mein
heere ki tarah prakashit ho rahi theee
jiske pratibimba ki chhata se prerit
koyee kavi ratri ki nayeeka k liye
ek gazal ki rachna kar raha ho
phir osh ki har bundon ko apni kavita mein pirokar
ratri ki nayeeka ko uphaar swarup bhent ke liye
ek gazra bana raha thaa.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success