Patthar Ki Murat Poem by Shrini Deewana

Patthar Ki Murat

Puja se unko fursat nahin milti to mohabbat woh humse kaise karenge,
Khuda bhi to hai sirf pathar ki murat us murat se ab kya dua hum karenge,
Humko zarurat nahin hai koi dua ki humko zarurat nahin hai kisi ki ada ki,
Aaye hai akele akele hi jeeyenge akele hum jeekar akele hi marenge.

Mujhe maut se ab to koi darr nahin hai yeh maut mera kuch kar na sakega,
Chahe woh aaye jab bhi mere dwaare apne baahein failakar use mein miloonga,
Kya diya hai mujhko is duniya ne jo is duniya mein jeene ki chah mein karoonga,
Na mili koi sukh na koi chain mann ka aise duniya mein rehakar mein kya karoonga.

Na koi khuda hai na koi farishtha yeh sab hai baatein har ek insaan ke maan ka,
Agar koi shakti hoti is jahan mein to woh shakti humein aise sataati nahin thi,
Karke juda mohabbat ko mohabbat se woh mohabbat ko kabhi aise rulati nahin thi,
Mein hoon ek insaan jo kaam apna kar raha hoon mujhe parawah nahin kisiki dua ki.

Bhala ya bura hoon apne dam pe jee raha hoon mujhe koi shakti ki zarurat nahin hai,
Agar mar bhi jaoon ai duniya waalon mere maut par kabhi koi gham na karna,
Mere shav par koi maala na dharna mere shav par koi kumkum na bikharna,
Na mera shraddha karna na koi paath padhna mere maut par tum koi gham na karna,
Mujhe phool aur kumkum ki zarurat nahin hai woh phool aur kumkum us murat par hi rakhna.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success