Rishtey Poem by Shrini Deewana

Rishtey



Sansaar ka niyam hai rishtey banana,
chahe woh khoon se ho ya ho dil se,
jag mein jab tum aaye the saath hi rishtey laaye the,
Khoon ke rishtey jo ban jaati hai
woh to tumahare haathon mein nahin
Par dil se jo rishtey bante hai woh bante hai tumahare bartav se

Mata Pita Bhai Behan, yeh sab rishtey tum saath hi laate ho,
par kehte hai jisko dosti yaari woh rishta tum khud hi banate ho,
dosti ka rishta banana koi mushkil kaam nahin,
ache dost milte hain tumhe apne ache karmon se,
pare yeh rishta tum umar bhar nibha paaoge,
agar Dharma tumahara sacha ho.

Duja hai rishta mohabbat ka jo dilon se banta hai,
Is rishtey ko hum banate nahin,
Yeh rishta khud hi ban jaata hai,
Is rishtey mein jab do dil milte hai,
milte hi kho jaate hai aur ek duje ke ho jaate hai,
Phir zubaan chahe khamosh rahe, aankhon se hi baatein hoti hai.

Rishta chahe khoon ka ho, ya ho dosti ka, ya ho rishta mohabbat ka,
Har ek rishta banana koi mushkil kaam nahin,
Par yaad sada rakhna yaaron, ek baar banalo tum koi bhi rishta,
Saari umar use kabhi dil se na hatana tum,
Rishtey ko mitti ka gharonda na samjho, jo banaya aur phir thod diya,
Rishta to woh beshumaar daulat jisse samajna har ek ki bas ki baat nahin

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success