(mukt Chand) - Sambhav Aur Asambhav Poem by Prabodh Soni

(mukt Chand) - Sambhav Aur Asambhav

Rating: 4.5


Sambhav sab kuch hai asambhav kuch bhi nhi
kar tu koshis door kuch bhi nhi

sindhu ko laang sumeru ko ulangh
dam pe apne patal ko chan
kar buland man aur buland ho khud
badte jaa tu roke se na ru

sambhav hai sab kuch asambhav kuch bhi nhi
kar koshis door kuch bhi nhi

nayi roshni liye nayi umang liye
utsah aur jeevan sang apne liye
fir ugta suraj nayi tarang liye
tu bhi uth ho khada tu bhi
jeevan mai hai bacha bahut kuch aur bhi


sambhav hai sab kuch asambhav kuch bhi nhi
kar tu koshis door kuch bhi nhi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success