(kahani) - Anaam Poem by Prabodh Soni

(kahani) - Anaam

gadi aane ke announcement ho rha tha.. me aur mere parivar wale train ke darwaje par saamn aage badaye, kuch haatho me liye train ke rukane ke intjar me khade the, train ke rukte hi bhaiya haath me ateji liye ek bag ke saath pahle utare unke baad me utra, khda ho gya 4 kadam aage jaha saman rakha tha. Garmi ka mausam tha aur pasina tapak rha tha hum log yaha kisi parichit ki shadi attand karne aaye the me lagbhag 14- 15 saal ka tha shayad hum sab utar chuke the aur mammi saman gin rhi thi, sab saaman sahi hai ke nhi malum kar rhi thi. Pass hi ke dibbe se kuch aur paricht utare sayad wo kisi beech wale staion par hi chade the. Wo sabhi wahi the, ladki wale, jinke yaha hum jaa rhe the. sabhi logo ki beed mai meri ekaek najre tahar gyi mano saanse aur dhadkne chalna bhool gyi ho, ye meri usse pahli mulakat thi, meri taraf wo bhi ke pal ko dekhi, sharma ke aankhe nichi kar li.

kya hua kya laga kya socha kuch na malum hua bus me thar gya aur sab kuch bhi tahar gya kuch pal ko. hum sabhi alag alag auto kar dhrmshala pahuche jaha sabhi ka tika laga swagat hua. Iss baar ek baar fir dikhi mujhe ek jhalak bhar uski par ab dhadkne thami nhi par bhaag rhi thi sarpat ghodo ki tarah, me laghbhag gum ho gya tha kahi apne me hi bhitar hi bhitar, samaj ke pare the sab ye ahsas mane kabhi hua hi nhi tha esa kabhi.

shaam jab sab safar ki thakan utare bagiche me bethe, sabhi bade, bude aur bachche. tab pahchan hui kuch thodi bahut, jese me intjar me hi betha tha uska naam janne ko, aur jaane ko, ki kab mujhe pata chale thoda kuch uske bare me uske jo thi anjan par kuch jani pahchani mujhako, najre jukaye wo shant chitt ekaki bethi thi najuk sa roop mano koi kali ho gulab ki adh-khili murjhayi si, ki jaade ki thand me khilne ko betab dhoop ke intjar me bethi ho kuch amlahi si, bholi si aankhe masumiyat bilkul bachcho jesi wo thi bhi bachchi hi najuk se haatho me ek glass liye bethi thi tabhi ek awaj aayi 'shomi beta yaha aana jara..' piche dire se ek masum si holi si awaj aayi... 'ji mausi me aayi'. 'shomi' mano ye naam kuch hi pal me hajar baar gunj gya tha mere man me ab uska ek naam bhi malum ho gya tha mujhe uska jo thi anaam ab tak mere liye.

raat ko antakshiri ka daur chalu hua, jhund banaye bethe the hum sab kuch bachche kuch jawan kuch boode, wo bhi wahi thi, najro ke saamne mere par najre meri bhi niche thi aur najre uski bhi maano kuch doond rhe ho jo kho gya kahi dhara me. ek pal ko fir najre mili par ab shyad uska bhi dil meri tarah tham gya tha kuch pal ko, mano wo ek ek pal sadiyo lamba tha, jaha dono kho gye the ek baav me ek samadhi me door sabse bhale the bethe the beech me sabke.

pata hi na chla 4 din kab gujar gye, kayi moke aaye jab hum mile, the shantpar par aankho se mano kayi shabd kah gye. bus ek najar ka mil jana hi sab kuch tha tab mere liye bahut kuch tha kahne ko par koi aakhar na tha shabdo me pirone ke ko.

shadi khatm ho chuki thi aur sab jane ko tayyr gate par khade the, intjar me gadi ke jo le jaa rhi thi baari baari se sabko staion par pahuchane ke liye. me wahi khada tha gate par jaha se matra kuch doori par wo khadi thi, bichdan ki viraha badi buri thi..

uski aankhe kuch suji suji si lag rhi thi aur meri aankhe bhi dab dab dol rhi thi. me nhi janta tha ki kyu ho rha tha bus ek khamosi si chayi huyi thi mere man man mai shyad wo khamshi waha bhi thi par kayi shabd bhi the jo aanho se nikal man ko toad rhe the..

wo sab beth chuke the uss gadi me sabse aakhir mai wo rah gyi thi par uski najre bus mujhe hi dekhi jaa rhi thi, aakhir wo uss gadi me beth gyi sabse aakhri wali seat par jaha darwaje par khidki thi bani huyi..
gadi chal chuki thi. aakhir chorahe tak jab tak wo aujhal na yui najro se mere najre uski najre meri najre antim samyat tak dekh rhi thi..

ab ek aansu jalak chuka tha meri nanhi aankho se, bus wo aakhir suji hui si nanhi najre, ankahi si najre ghoom rhi thi, shyad wo bhi usi pida me thi jo me mahsus kar sakta tha. Bahut kuch aas pass ghat rha tha par mere andar wahi tha jo shayad uske andar ghat rha tha..


aaj jab uss wakiye ko ek arsa beet gya, aaj jab me budha ho chala bus khud ke do char kaam kar saku itna jivan dum mujhme hai bacha tab ye kissa mujhe anayas hi kahi gahre baavo me le jata hai..

aah shyad yahi to tha nish kapat nish-chal shashvat prem ka pahala sabak, jo me aaj mahsus karta hu jab me maa me tere chintan mai bhav samadhist hota hu.. bus najre hi to hoti hai jo tumse sab kah jati hai maa, shabd to mano vilupt ho chuke hai, bhav hi to hai jo prem karna sikhate hai..

prabodh soni 9-12-13

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success