(nazm) Ek Hasti Huyi Tsveer Teri Poem by Prabodh Soni

(nazm) Ek Hasti Huyi Tsveer Teri

Rating: 4.0


utar deta mai, ek hasti huyi tsveer teri bhi
ek tasveer in rango se ya mere shabdo se
par teri masumiyat ke piche chipi
kisi dard ki iss diwar ko kese tod pata mai
jo majbooti se thame hai tere daman ko
mere rango me meri kalam aur kunchiyo me
wo samrthya hi kaha hai
jo rok sakta tere aankho ke beetar chupa
aansuo ke sailab ko
ye sailab hi to hai jo dhalne nhi deta shabdo ko
aur tikane nhi deta mere rango ko
rok deta hai mere haatho ko
aur adhuri rah jati meri har baat aur wo tasveer teri
utarna chaha jisme tujhe
har baar haste huye mene..

Thursday, May 22, 2014
Topic(s) of this poem: poetry
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 26 August 2016

bahuth khoob...aur khobsoorath andaz e bayan...likhtey raha kijiye...

0 0 Reply
Kirti Sharma 03 July 2014

lovely write..... :)

0 0 Reply
Akhtar Jawad 26 June 2014

Aap ki nazm bahut achi hay pasand aai.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success