Manuj Poem by ramesh rai

Manuj

Rating: 5.0

Koi kitna hi na kyun ho
par main to ek insaan hoon
samasta badhaon se jujhkar
phir bhi main ek insaan hun

Koi kahe n kyun kitni baaten
har koi hairan hai
hai kaisa insaan wah
badhaon se jujhta
rokta n isko kabhi
himlaya ka durg prachir
n kabi hai rokta ise
trin vanon ka ghanavish
n hi rokta ise
samudra ka ufan
n hi rokta ise
jwalamukhi ki prachand laptein

yeh badhata hi rahta hai
n kabhi rukta n kabhi tutta

jaise iske veg hai bhari
koi kyun kar bhala roke ise
varid nayano se chhalak kar
amrit ka kalash jo piya
yeh manuj ka avtaar hai

Srishti karta hai srishti mein
palan bhi karta hai yehi
sanharkarta bhi hai yehi
yehi hai iska anant roop

mrigmarichika mein bhi
yeh shanta rahata hai
chahe kitni vatika ho
yeh aadi aur ant hai
jiska naam hai srishti
wah manu ka avtar hai

COMMENTS OF THE POEM
Wahab Abdul 27 March 2012

''Koi kitna hi na kyun ho par main to ek insaan hoon samasta badhaon se jujhkar phir bhi main ek insaan hun'' victory of humanism.....! a nice poem.......

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success