Maa Poem by Shrini Deewana

Maa



Jo peheli boli kehata hai insaan woh boli hai Maa,
Jo devi tujhe janam hai deti woh devi hai Maa,
Jo nau mahinon tak tujhe apne kok mein hai sehati woh naari hai Maa,
Jo khud ke jeevan se ladkar tujhe hai janam deti use kehate hai Maa.

Jo bachpan mein tumhein sab kuch sikhaye woh pratima hai Maa,
Jo sahi raah par tujhe har pal laaye woh mamta hai Maa,
Jo ek waar bhi tujhpar kabhi seha nahin paaye woh pyaar hai Maa,
Jo tere aankhon mein aansoon kabhi dekh na paaye woh dulaar hai Maa

Jo burayee se tujhe ladna sikhaye woh durga hai Maa,
Jo har pal tujhe vijay hona chahe woh lakshmi hai Maa,
Jo mitti mein bhi jaan le aaye woh Parvati hai Maa,
Jo sikhsha dekhkar tera gyaan badaye woh Saraswati hai Maa.

Dharam chahe tera kuch bhi ho karam chahe tera kuch bhi ho,
Yeh kabhi na bhoolna tujhe har pal yaad karti hai Maa,
Jab badkar tu aage nikale aur kamar maa ki dhal jaaye,
Us pal use tu use door na karna kyon ki woh hai teri Maa.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success