Kyon Bhigoya Ishq Ki Dariya Me Humein Poem by Shrini Deewana

Kyon Bhigoya Ishq Ki Dariya Me Humein

Hoti hai subaha to dil mein ek karaar sa hota hai,
Tumse milne ko jaanam dil bekaraar sa hota hai,
Saari raat to bas beet thi hai yaadon mein teri,
Jab sota hoon tab bhi mujhe khwaab aati hai teri,
Is kadar kabhi dooba na tha jaise aaj dooba hoon mein,
Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein.

Har pal har lamha beet thi hai sanam tere hi khayalon mein,
Aur mein khoya sa reha jaata hoon zindagi ke rahon mein,
Tum bin ab dil mera kahin bhi lagta hi nahin hai,
Tumse hi seekha hoon maine sanam kya aashiqui hai,
Is kadar kabhi khoya na tha jaise aaj khoya hoon mein,
Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein.

Yaadein tumahari laati hai ashkhon ki leharein,
Aankhein bheeg jaati hai sambhal paata nahin mein,
Itna mohabbat kyon karti ho sanam tum humse,
Tum bin mein abhi jee nahin paaoon is jag mein,
Is kadar kabhi roya na tha jaise aaj rota hoon mein,
Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein.

Teri mohabbat ki tadap mere dil mein ek dard si laati hai,
Teri yaadein mujhe chain se kabhi rehane nahin deti hai,
Kabhi socha na tha aisa ek pyaar aayega jeevan mein mere,
Kabhi socha na tha aise tadpoonga mein mohabbat mein tere,
Is kadar kabhi tadaptha na tha jaise aaj tadapta hoon mein,
Itna bata do kyon bhigoya ishq ki dariya me tumne humein.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success