Khushiyan Poem by Shrini Deewana

Khushiyan

Tere honthon ki muskaan ko pehchaanta hoon mein,
Tere is chupi hue hansi ko bhi jaanta hoon mein
Har pal tere isi muskaan ko dekhne tarasti hai mere aankhen,
Kya mere is tadap aur taras ko tu nahin jaan paati hai sanam?

Tere jeevan mein aaye ghamon ke baadalon ko hata doonga mein,
Banke jhonka hawa ka un baadalon ko uda doonga mein,
Bas rahe kuch tere jeevan mein to woh khushiyan hi ho sanam,
Yehi umeed ke chiraag ko sada jalaaye rakhoonga mein.

Jab se aayee ho sanam mere jeevan mein tum,
Bhar gayee hai khushiyon se mera jeevan sanam,
Kayee dinon se tumhein mein na dekh paaya to kya,
Tere har ada mere dil mein hi basi hai sanam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success