Khafa Na Hona Tum Mujhse Poem by Shrini Deewana

Khafa Na Hona Tum Mujhse

Shayad maine ek galati ki hai zindagi mein apni,
Umeedein bahut laga baitha hoon zindagi se apni,
Zindagi ne meri pyaar bahut hi diya hai mujhko,
Phir bhi chahat dil ki kabhi kam nahin hoti meri,
Isi liye shayad khafa hoti hi rehati hai sada zindagi meri.

Shayad mere is chahat se naraaz hai zindagi meri,
Kabhi hoti hai khafa to kabhi root thi hai zindagi meri,
Na jaane maine aisa kya jurm kiya chahat jatakar apni,
Shayad mere chahat mein umeedein bahut hi zyada hai,
Isi liye shayad khafa hoti hi rehati hai sada zindagi meri.

Apne chahat ko sanam ab mein chupaoon kaise,
Pyaar to paya hoon is jeevan mein paakar tere saath,
Tujhko to chahata hoon apne jaan se zyada dilbar,
Is liye maangta hoon saath tera mein har pal ai sanam,
Mere mohabbat ko tu zabardasti na samajh ai sitam,
Tere bin jee nahin paoonga mein yeh hai meri kasam.

Mujhse itna khafa na hote rehana ai mere dilbar,
Tere bina mera jeena dushwaar ho na jaaye kahin,
Raat din kat thi nahin hai tere yaadon ke siwa,
Tum hi mere palkon mein sada basi rehati ho mere dilbar,
Tujhse mein aur kuch na maagoon mein ai mere sitam,
Bas sada saath hi rehana kabhi na chod dena mujhko,

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 16 August 2016

Shayad mere is chahat se naraaz hai zindagi meri, Kabhi hoti hai khafa to kabhi root thi hai zindagi meri, Na jaane maine aisa kya jurm kiya chahat jatakar apni, Shayad mere chahat mein umeedein bahut hi zyada hai, bahuth hi niraley andaz hai aap ka..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success